Sunday, November 30, 2008

Interesting DeFinitions

Interesting DeFinitions !


SCHOOL :
A Place where Papa Pays & Son Plays.


LiFe Insurnce :
A Contract that keeps u poor all ur liFe so that u can die Rich.


Doctor :
A person who kills ur ills by pills, & kills u by bills.


Marriage :
It’s an agreement in which a man loses his bachelor degree & a woman gains her Master.


Smile :
A curve that can set a lot oF things straight.


Atom Bomb :
An invention to end all inventions !

Husband To Wife

Husband to wife: Did you have any boyfriend before our marriage?
Wife remained silent for some time…
Husband: mai es khamoshi ko kia samjhon??
Wife: Abhy gin ne tu dey..:)

Karam jo bande per ho

Aarzoo hai seene me ghar bane madine me
ho karam jo bande par banda parwari hogi

Saturday, November 29, 2008

sister always supports

In love stories sister always supports her brother but brother never support his sister…
because..
The sister knows what Love is ..
And the brother knows what Boys are…

Tabah to waise be

Udaas Logo Hujoom Lao Husan Walon Ko Mar Dalain


Koi To Neki Ka Kaam Kar Lain Tabah To Waise Bhi Ho Gaye hain

raat aayi hai balaon se rihai degi -Anwar Masood



raat aayi hai balaon se rihai degi
ab na divar na zanjir dikhai degi
waqt guzra hai pa mausam nahi badala yaro
aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi
ye dhundalaka sa jo hai us ko ganimat jano
dekhana phir koi surat na sujhai degi
dil jo tutega to ik turfa tamasha hoga
kitne aainon mein ye shaql dikhai degi
sath ke ghar mein bada shor barpa hai ‘anwar’
koi aayega to dastak na sunai degi


Poet of The / Ghazal or Nazam :    Anwar Masood



End Of The Islamic Ramadan



+ ‘__//__’ +*
‘ *Shabe //*’ + *’
+/ Qadar ’+’*
+’’’’’’//’’’’’’*’*’+
Mubarak Ho
Dil Ki Aankhon Se Kaam Laita Hoon,
Un Ke Daman Ko Thaam Kaita Hoon,
Door Hoti Hain Sari Mushkilain,
Jab Mohammad (S.A.W) Ka Naam Laita Hoon..
Subhan Allah.



Number Choose Karen 1 Se 10 Kak

Number choose karen 1 se 10
tak aur
Main ap ko bataon ga k ap ki
personality kesi hy..
.
.
.
.
.
.
Bal k yaar ap rehny hi do.
Ap wyse hi chawal sy lgtein hyn.

Friday, November 28, 2008

Hazart Muhammad (S.A.W) ki Khususiyaat

Hazart Muhammad (S.A.W) ki Khususiyaat


Aap (S.A.W) ka saya nai tha !


Aap (S.A.W) pe kabi Makhi nai bethi!


Aap (S.A.W) ko kabi jamai nao aye!


Aap (S.A.W) jase dekthe thy wese he piche dkthe thy!


Aap(S.A.W) jis janwer per sawar hoey wo kabi nai bhaga!


SUBHANALLAH


Forward this to all

That Angry Moment

That Angry Moment!
.
.
.
.
Whn a small kid hits u widout any reason in front of his mom & u
cant do anything bt smile n say
.
.
.
.
kitna cute hai (Sala kutta) 😛

Andhian Yoon chalein ka

Andhian Yoon
chalein k
dil ujar k reh
gaya,
.
.
.
.
.
.
.
.
Aey Vekhien
Faraz
meri Akh Vich ki
py  gya….??
(+_-)

Suna Hoga Kisi Se, Dard Ki Ek Hadd

Suna Hoga Kisi Se, Dard Ki Ek Hadd Bhi Hoti Hai,
Milo Hum Se, K Hum Us Hadd K Aksar Paar Jate Hain...

Suna Hoga Kisi Se, Dard

Mujhe Khud Ki Nahi Koi Khabar

Mujhe Khud Ki Nahi Koi Khabar,
Teri Aarzu Kya Karoon?
Mein To Khud Hun Aik Be_Makeen,
Teri Justuju Kya Karoon?

by: Saba

Teach us Teamwork

Our education system has a drawback:


;
It doesnt teach us teamwork
.
& When v make efforts 4 working as a team in exams..they call it cheating!


Jahil log;-)

Abhi Jugnu Nahi Roothe - Inspirational Poem

Abhi-Khwab-Sad

Abhi Jugnu Nahi Roothe..!

Abhi Jugnu Nahi Roothe
Abhi Aansu Nahi Toote
Abhi Sooraj Nahi Jaaga
Abhi Tarey Nahi Doobe
Abhi Ik Khwab Baqi hai
Abhi Manzil Nahi Aai
Abhi Aankhon Me Jal Thal Hai
Abhi Dil Me Halchal Hai
Abhi Ik Khwab Baqi hai…!

aj mere shab-e-furqat ke sahar aayi hai – Shamim Jaipuri



aj mere shab-e-furqat ke sahar aayi hai
muddaton bad teri rahaguzar aayi hai


dekh to lijiye mere khun-e-tamanna ki bahar
jis ke surkhi meri aankhon mai utar aayi hai


tune to tark-e-muhabbat ke qasam khai thi
kyon teri aankh mujhe dekh ke bhar aayi hai


un ke pairahan-e-rangin ke mahak hai is mai
aj kya bad-e-saba hoek udhar aayi hai


is mai kuch un ke jafayen bhi to shamil hain ‘shamim’
bevafai ke jo tohamat mere sar aayi hai
 


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri



Main Ghat'ta Jaa Raha Hun Dheery Dheery

Main Ghat'ta Jaa Raha Hun Dheery Dheery
Mujhe Us Ki Kami Khany Lagi Hai...

Main Ghat'ta Jaa

Hona To Wohi Hai Jo Qismat Me Likha Hai

Hona To Wohi Hai Jo Qismat Me Likha Hai

Lekin Wo Mere Khawab, Mere Khawab, Mere Khawab...

Hona To Wohi Hai

Thursday, November 27, 2008

Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Kr

Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Kr Usko,
Tu Ne Ishq Kia Hai, Gunah Chota Nahi Tera...

Khamosh Reh Tanha Baith

Maula Hain Faqat Aap



Maula Hain Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap
Qibla Hain Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap
Aaqa Hain Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap


Mauluud-E-Haram Aap Sare Arsh-E-Bariin Aap
Jis Jaa Bhi Ho Allah Mohammad Hain Wahiin Aap
Har Jaa Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap


Wo Dosh-E-Nabi Bistar-E-Hijrat Shab-E-Asraar
Masjid Ho Ke Mimbar Ho Ke Ho Toor Ka Jalwa
Jalwa Hai Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap


Waliyon Ke Wali Maula Imam Aur Ameer Aap
Ahmad Ke Wasi Naaib-O-Daamaad-O-Waziir Aap
Kya Kya Hai Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap


Hasnein Se Kab Aur Kisi Ke Huwe Bete
Aur Zainab-O-Kulsoom Si Masoom Si Arke
Baba Hain Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap


Koi Nahin Misl Aap Ka Ay Raahi Ke Jaaye
Ash-Haar Kahe Jayse Usi Tarha Sunaaye
Tanha Hain Faqat Aap, Faqat Aap, Faqat Aap



Bass Ik Choti Se Han Kr Du



images


Bass Ik Choti Se Han Kr Du,
Hamare Nam Is Tarha Sara Jahan Kr Du!


Wo Mohabbtain Jo Tumare Dill Mai Hai,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Du!


Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Du!


Hoi Purani Dastan Her Ranjha Ke,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Du,


Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Du!


Apne Dill Mai Is Tarha Chupa Lo Muj Ko,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Du!



Pholan Wangron Mukhra Tera

Pholan Wangron Mukhra Tera
Mare Lashkare Ni
Aakhan Wich Wasde Ne
Ravi De Nazare Ni

Happy All Day Long

Hello,


wake up,


Receive my simple gift of GOOD MORNING


wrapped with sincerity,


tied with care


and


sealed with a prayer


to keep u safe


and


happy all day long!


Take Care!

Plz call me its urgent

Plz call me, its urgent


Ek accident ho gaya hai.
.
.
.
.
.
Aap ka hi blood group chahiye, Plz mana mat karna
.
.


Warna
.
.
GADHA mar jayega

Wednesday, November 26, 2008

Khushbu-e-Wafa

Nam-E-Mohammad se Khushbu-e-Wafa ati hai,


Un k ROZE se Umati Umati ki SADA ati hai,


Kash bethen hum B MADINE ki Galion Mn


Kehte hn k


whan JANAT se HAWA ati he..

Tujh Se Mile Na The To Koi Aarzu Na Thi

Tujh Se Mile Na The To Koi Aarzu Na Thi,
Dekha Tujhe To Tere Talab_Gaar Ho Gaye…

Talab Shayari

Your Precious Green Eyes



The Beauty Within Your Precious Green Eyes
Brings This World Darling, To Only You And I.


It Brings Comfort, And Ignites My Hearts Fire
Into A Sea Of Waves, With Passionate Desires.


Beyond Your Eyes, A Exquisite Beauty Exists
Place Your Hand In Mine And Caress My Lips.


It’s A Feeling Of Knowing, You Feel True Love
Emotions So Intense Only A Heart Dreams Of.


Lost So Deep Within The Beauty Of Your Eyes
Their Beautiful As The Stars Above You And I.


It’s The Beauty, Within Your Green Eyes I See
That Truly Let’s Me Know, You Are All I Need.


by bcassata



Best Urdu Dua Sms

……..DUA……..
A mere “ALLAH”
Apni Rehmaton k Darwaze se
Dheron Khushian
Kushada Rizq
Umr-e-Deraz
Achi Sehat
Kamil Eman
Bandagi wali zindgi
Apni Raza
Apny MAHBOOB Tajdar E Madina ki Mohbt ye sb usko atta Farma Jo is Wqt YE DUA Parh or behj rha hai.   (“AMEEN”)

Tuesday, November 25, 2008

Mazhiya bakra Eid Shayari

Bakri ne mara jo bakre ko singh
.
.
.
.
.
.


bakri ne mara jo bakre ko singh


to bakra b mare ga bakri ko singh

Dastoor Chahat

Ye shikwa bewaja hai,


ye to dastoor-e-chahat hai


Ke ye jo mehboob hota hai,


zara magroor hota hai…..!!

Grades Define

Grades dont measure intelligence
and age does not define maturity

Monday, November 24, 2008

Teri yaaden shaam dhale

Chali aati hain dabe paun teri yaaden shaam dhale
K hoti hai chiraghan dil ki mehfil shaam dhale
Hue tum kin rahon k musafir, itna to bata dete
K laut aate hain panchi bhi ghar ko shaam dhale
Tere intezar men yun har roz jhilmilati hain aankhen
K jaise mazaar pe jalta hai koi dia sham dhale
Din ka koi pal bhi teri yaad se ghafil nahi hota,
…..”WASI”…..
Teri kami ka magr hota hai ehsaas shaam dhale.

Zulm Dhaya kerte ho

Kis QaDar Zulm Dhaya Karty Ho….!! :(


Ye Jo Tum Bhool Jaya Karty Ho….!!

Sunday, November 23, 2008

Sun Is Upset

Sun Is Upset..


Moon Is Happy…


Y..?


Bcoz..


Sun Is Missing U N Moon Is Going 2b Vth U.


Good Night


n


Sweet Dreams … =)

Chaman ke baharon mai tha aashiyana



chaman ke baharon mai tha aashiyana
na jane kahan kho gaya wo zamana


tumhen bhulane ke main koshish karunga
ye wada karo ke na tum yad aana


mujhe mere mitane ka gam hai to ye hai
tumhen bevafa kah raha hai zamana


khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Qamar Jalalvi



Thinking Process

¤Thinking Process¤


American was thinking:


We have conquered the moon what next to conquer??


Chinese:


We have covered almost 90% of the world market how to cover the rest??


Indian:


We have nailed Pakistan on foreign diplomatic front what else needs to be done??


Pakistani:


12 baje light gayi thi tou 1 baje ai hai ab phir 3 baje jaey gi pata nahin 4 baje aaye gi k nahin Allah karey 5 baje na jaey:-D;-)

Apni Aise Wife Ho



Apni aaisee wife ho
5’6″ jiski height ho,
Jeans tight tight ho,
Chehra jiska bright ho,
Umar 22 se 27 ho,
Aise apni Wife ho.


Sadak per sab kaheN kya cute ho,
Bhir me sab kaheN side ho, side ho,
Pindi, Islamabad ya Peshawar ki paidaish ho,
Sas ki khidmat jiski khwahish ho
Aisi apni Wife ho.


Padosi jab baat karay to haath me knife ho,
Dinner ke waqt candle light ho,
Ham me tum me kabhi na koi fight ho,
Milnay ke baad dil delight ho,
Aise apni Wife ho.



Saturday, November 22, 2008

Baat karne ka Ek Andaaz

Har Insan ka Baat karne ka Ek Andaaz hota hai Mera Baat karne ka Andaaz kaysa hai ?


1.Serious.
2.Chulbula.
3.Shararti.
4.Chalaak.
5.sweet.
6.Shy.
7.Crazy.
8.Over Confidence.
9.Bharam Baaz.
10.simple.
11.Batameezi.
12.loving
13.Jald Baazi.
14.Proudy.
15.AALIMANA.Reply Must.
With h0nesty

Sardar Ji To His Friend

Sardar ji to his friend: Yar bari mushkil main hoon meri bivi mujh say aik kiss ka 100 RS laiti hay …..


Friend: acha, yar to bara lucky hay doosron say to wo 500rs laiti hay.

i need your Friendship

I dropped a Tear in the ocean while Thinking of You. And I
Promised to be Your friend Till I find it…. Now did you know how long i need your
friendship.? ..


From: zulqarnain haroon (00971552543943)

I Am Dreaming Of White Christmas

I am dreaming of white Christmas,
with every christmas card i write,
May your days be merry and bright,
and May all your christmases be white.
Happy Christmas.

Teri Muskurahat

Teri Muskurahat Meri Pehchan Hai,


Teri Khushi Mera Arman Hai,


Kuch Bhi Nahi Meri Zindagi,


Bus Samjh Le Teri Dosti Hi Meri Jaan Hai.


FROM: Anil Albert

Friday, November 21, 2008

Breakup ka faida

Breakup ka faida!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Mobile ki battery 6, 6 din chal jati ha !!

Kitni Dilkash Hai Us Ki Khamoshi

Kitni Dilkash Hai Us Ki Khamoshi,
Sari Batein Fazool Hon Jese.....!

Yaad-e-Yaar Ka Mausam Aur Sard

Yaad-e-Yaar Ka Mausam, Aur Sard Hawaon Ka Aalam,
Aye Dil Taiyaar Ho Ja, December Aa Raha Hai...

Yaad-e-Yaar Ka Mausam

Choomta hai Mere Naam ke Haroof

Tanhaai mein jo Choomta hai Mere Naam ke Haroof…!!


Mehfil mein woh Shakhs Meri taraf Dekhta bi nahi…!!

Thursday, November 20, 2008

Kal Raat Jane Kya Hua



Kal Raat Jane Kya Hua
Kuch Dair Pehlay Neend Se
Kuch Ashk Milnay Aa Gaye
Kuch Khuwab Bhi Tootay Huay
Kuch Log Bhi Bhoolay Huay
Kuch Gard Main Lipti Hui
Kuch Bay Panah Pheli Hui
Kuch Khol Main Simti Hui
Bey Rabt Si Sochain Lye
Bhooli Hui Baatein Lye
Ik Shaks Ki Yaadain Lye
Phr Dair Tak Jagey Rhey
Sochon Mei Gum Bethey Rhey
Ungli Say Thanday Farsh Per
Ik Naam Bus Likhtey Rhey
Kal Raat Bhi Wo Raat Thi
Kuch Dair Pehle Neend Se
Hum Dair Tak Rotey Rahey



Wali shayari



Jaane aesi jindgi kyu bitate hain log


Is jindgi ki rah mai roj kai mout marti hai kwahishe


Tamnanon ki arthi par nayi sej keese sajate hai log


Dur talak na koi chirag, na koi aahat


Roshni ki umeed mai kyu khud ko jalate hain log



Share with us more Wali shayari in Comments Section below.



Karen Ge Tark-e-Ta'aluq Ye Tum Se Wada

Karen Ge Tark-e-Ta'aluq Ye Tum Se Wada Raha
Badan Se Saans Ka Rishta To Toot Jane Do...

Karen Ge Tark

A Boy Was Going With His Girl Friend

A Boy Was Going With His Girl Friend
Friend Asked : Who Is She?
Boy : My Cousin.
The Frend Said: Last Year She Was My Cousin.!

Student Hostel Life

Hostel Story


Things you say jab koi bahar ja rha ho


1> Bhai Paise le ja recharge karva diyo
2> Bhai ATM se paise nikalwa diyo
3> Bhai Please kuch khane ko le aayio


and The answer you get Saale naukar hu tera?


Chal saath mein

Ishq Ki Wade Main Madhosh



Ishq Ki Wade Main Madhosh Sa Jherna Tha
Doob Gaye Us Main Humain Hosh Main Rehna Tha


Jazbaat Kay Raylay Ko Hum Rok Na Paaye They
Qaboo Na Raha Us Ki Aaghosh Main Girna Tha


Shikwa Bhi Karain Kis Say Is Shor Kay Alam Main
Toofan Ka Mere Dil Main Khamosh Sa Dherna Tha



Chund Qatray Bahay Rukh Pay Shabnum Unhain Sumjhay Hum
Ashklon Ka Fasana Tha Humain Nosh Hi Kerna Tha


Qadmon Say Nigahon Tak Tum Bheeg Gaye Shaiki
Anjaam Yehi Hai Ab Faramosh Kya Kerna Tha



Wednesday, November 19, 2008

Friendship Birthday Poetry Messages



Birthday Wishes For My Friend
On your birthday,
I wish for you the fulfillment
of all your fondest dreams.
I hope that for every candle
on your cake
you get a wonderful surprise.
I wish for you that
whatever you want most in life,
it comes to you,
just the way you imagined it,
or better.
I hope you get as much pleasure
from our friendship as I do.
I wish we were sisters,
so I could have known you
from the beginning.
I look forward to
enjoying our friendship
for many more of your birthdays.
I’m so glad you were born,
because you brighten my life
and fill it with joy.
Happy Birthday!
By Joanna Fuchs



Tumhare Abbu Ka Kya Naam Hai

eacher: Tumhare Abbu ka kya naam hai?
Pathan: Google Khan
Teacher: yeh kaisa naam hua?
Pathan: hum jahan b hota hai, wo humko dhoond hi leta hai.

Poetry on eyes in urdu




Aankhein Hain Jheel Si, Yaan Koi Bhanwar Hai



Aur Uspey Bindiyaan Jaise Ghazab Ki Sanwar Hai.


Hai Is Qadar Unki Adao.n Mein Khumaari ,


Ki


Jahan Bhi Jate Hain Hota Bas, Ajib Hi Manzar Hai.



Jaane Kya Hoga Wo Jab Aayenge Be-parda Nazar


Abhi Se Hai Haal Yahi Jabki , Woh Andar Hai.



Kyun Na Karun Main, Unhe Dekh Tamanna Koi


Sarapa Sadgi Bhara Bas , Woh To Samandar Hai.



Jab Nahi Hota Unka Khayal To Lagta Hai Yun Ki


Jaise Dil-Dil Nahi Mera , Bas Koi Khandar Hai.



Sochta Hoon Kitna Khushnashib Hun Main Shihab



Ki Khuda Ne Baksha Mujhe Aisa, Hasin Dilbar Hai.





Share with us more ..Poetry on eyes in urdu ..in comments section below



DhOke Main Katti Umar SarI

Sath Dil ke chale Dil Ko Nahi Roka Humne..!!


Jo na Apna Tha Usey Toot Ke Chaha HumnE..!!


Aik DhOke Main Katti Umar SarI…!!


Kia Batayen kisE KhOya KiseY paYa huMne.

Dil se teri nigah jigar tak utar gai – Mirza Ghalib



Dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo bada-e-shabana ke saramastiyan kahan
uthiye bas ab ke lazzat-e-khvab-e-sahar gai
udati phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ae hava, havas-e-bal-o-par gai
dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bulahavas ne husn parasti shiar ke
ab aabaru-e-sheva-e-ahal-e- nazar gai
nazzare ne bhi kam kiya van naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae ke hum pe qayamat guzar gai
mara zamane ne ‘asadullah khan” tumhen
wo valavale kahan, wo javani kidhar gai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib



Zindagi Bhi Kya Cheez Hai

Zindagi Bhi Kya Cheez Hai

Zawaal Hai To Wo Bhi Urooj Par...

Zindagi Bhi Kya

EID Tum Jab B Aana

Aye EID Tum Jab B Aana.
Sab k Liye Bus KHUSHIYAN Lana.


Har Chehry Pr Hansi Sajana.
Har Aangan Mein Phool khilana.


Jo RoAYE hain Enhen Hansana!
Jo Rothy hain Enhein Manana.!


Jo Bichray hain Enhein Milana!
Piyari EID tum jab Bhi Aana!


Sub k Liye KHUSHIYAN Lana.

Tuesday, November 18, 2008

Kuj sanu maran da shok

Kuj unj vi rahavan okhiyan san.
Kuj ghal vich guman da tuog vi si
Kuj shaher dy log vi zalam sen.
Kuj sanu maran da shok vi si.

Jis Din Kitaab-E-Ishq Ki Takmeel Ho Gai

Jis Din Kitaab-E-Ishq Ki Takmeel Ho Gai
Rakh Denge Zindagi Tera Basta Utaar Kr...

Jis Din Kitaab-E-Ishq

Eik Sardar Museum Gya

1 Sardar museum gya, Wahan us se 1 Cup toot gya?
Officer: You have broken a 5000 years old Cup.
Sardar: Thanks God
Main samjhya nawan C …

Sarkari or Private Radio

Good Knowlege: SriLanka Wo Wahid Non Muslim Country Hai


Jis K Sarkari or Private Radio Aur T.V Channels Par Daily 5 Waqt Ki Aazan Nashar Ki Jati Hai..

Sweet Night

Close ur eyes in this sweet night,


save all sweet memories in ur heart.


Think of all beautiful things in ur life


& surrender urself to ur beautiful dreams.


Gud Nite :-)

rafta rafta wo meri hasti ka saman ho gaye- Tasleem Fazli



rafta rafta wo meri hasti ka saman ho gaye
pahale jan phir jan-e-jan phir jan-e-janan ho gaye
din-ba-din badane lagi us husn ke ranaiyan
pahale gul phir gul-badan phir gul-badaman ho gaye
aap to nazadik se nazadik-tar aate gaye
pahale dil phir dil-ruba phir dil ke mehaman ho gaye


Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Tasleem Fazli



Monday, November 17, 2008

Bicharna sms



main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..


tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra…!



hijr kay mausam main ye barish ka barasna kaisa !


aik sehra say samandar ka guzarna kaisa ?


aey meray dil na paraishan ho ‘tanha ho kar!


wo teray saath chala kab tha ‘bicharna kaisa?


Jab shajar saath na de ‘haar samajh bethay to !


zard patton ka hawaon say ulajhna kaisa ?


chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain !


pyar karna hai to phir maut say darna kaisa ?


Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna ae dil !


us nay iqraar kia kab tha mukarna kaisa ?


Share with us more Bicharna sms in Comments Section below.



“Insha” jee utho ab kuch karo is shahar mein jee ka lagana kya – Insha Allah Khan Insha



“Insha” jee utho ab kuch karo is shahar mein jee ka lagana kya
vahashi ko sukun se kya matalab jogi ka nagar mein thikana kya
is dil ke darida-daman ko dekho to sahi, socho to sahi
jis jholi mein sau ched hue us jholi ko phailana kya
shab biti chand bhi dub gaya zanjir padi daravaze mein
kyon der gaye ghar aaye ho sajani se karoge bahana kya
us husn ke sache moti ko hum dekh saken par chu na saken
jise dekh saken par chu na saken wo daulat kya wo khazana kya
us ko bhi jala dukhate hue man ik shola lal bhabhukha ban
yun aansu ban bah jana kya yun mati mein mil jana kya
jab shahar ke log na rasta dekhen kyon ban mein na ja bisram kare
divanon ki-si na baat kare to aur kare divana kya



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Insha Allah Khan Insha



Main Shaadi Ke Baad

Larki: Main shaadi ke baad tumharay saray dukh baant lun gi.
Larka: Mujhay tou koi dukh nahi hai.


Larki: Main shaadi ke baad ki baat kar rahi hun.

Sunday, November 16, 2008

Bari Hi Tarteeb Se Mujh Ko Kafir Banaya Gaya

Bari Hi Tarteeb Se Mujh Ko Kafir Banaya Gaya
Aadmi Ko Khuda Bana Kar Mere Samny Laya Gaya

Jab Bhi Puchne Gaya Me Apne Junoon Ka Elaj
Be-Rehmi Se Mujh Ko Kitabon Me Phasaya Gaya

Chand Logon Ki Bat Na Man'ny Par
Mere Hi Samny Mujh Ko Jalaya Gaya

Teri Rehmaton Ki Misaal Such Me Nahi
Kaaba Torne Wala Bhi Kabay Me Paya Gaya

Khatam Hui Talash Apne Dushman Ko Dhundne Ki
Kal Jab Mujhe 'Abbas' Aina Dikhaya Gaya...

Blogger: Waqas Ali

Nanhi Larki Sahil Ke Itne Nazdeek

Nanhi Larki,
Sahil Ke Itne Nazdeek,
Rait Se Apna Ghar Na Bana
Koi Sarkash Mooj Idhar Aai, To,
Tere Ghar Ki Bunyadein Tak Beh Jayn Gi,
Aur Phir In Ki Yaad Mein Tu,
Sari Umer Udaas Rahe Gi......


Dard or mohabbat ki wazaha

Jo log Dard ko Samjet hain
Wo kbi dard ki wazah nhi btate.
Aur Jo Log Sachi Mohbat Kret H.
Wo Dard Sehna To Jante Hai
Par Dard Dena Nahi Jante.

Concept Of Busy

There is no concept of being ‘busy’, its all abt priorities. People who love you would always find time for u no matter what& people who don’t will find excuses

Saturday, November 15, 2008

A Perfect Friend

Make Sure That In Search Of A Perfect Person
You Don’t Loose A True One,
Because
Perfection Is Fantasy
&
Truth Is Reality

Abhi tak nai aaye

Bahu : Maaji, Ye Abhi Tak Nahi Aaye,
.
.
Kahi Koi Ladki Ka Chakkar To Nahi Hai Unke ? .
.
.
.
.
. .
Maaji : Are Kambakht Tu To Hamesha Galat Hi Sochti Hai,
,
,
,
.
.
.
Ho Sakta Hai Ki Kisi TRUCK Ke Neeche Aa Gaya Ho !!!

Mein Tumhari Hi Hon Meri Fikar Na Karna ‘Any’ - True Love

Mein Tumhari Hi Hon Meri Fikar Na Karna ‘Any’
Mein Jahan Bhi Jaon Gi, Laut Kar Tumhare Paas Hi Aaon Gi…

Love Poetry

kabhi Ghuroor

Mat krna kabhi ghuroor apne Aap par aye


” INSAN””


na jane khuda ne kitne terey jesey bna bna k mita diye.

Relationship Between Two Person

Relationship between two person is like
the relationship between the hand and the eye.
If the hand gets hurt, the eye cries,
and
if the eye cries the hand wipes its tears..

Friday, November 14, 2008

Suno Tum Laut Aao Na

Suno Tum laut aao na.
Wo dekho chand nikla hai.
Hamari muntazir ankhein,
Duain maangti ankhein.
Tumhein sochti ankhein,
Tumhein dhondti ankhein,
Tumhein wapis bulati hain,
Ye Dil jab bhi Dharakta hai.
Tumhara naam layta hai.
Ye aansu jab bhi behtay hain.
Tumharay Dukh main behtay hain.
K barish jab bhi hoti hai.
Tumhein yaad kartay hain.
Khushi koi jo aaye bhi.
Tumharay bin adhuri hai.
Suno tum laut aao na.
wo dekho chand nikla ha…

Zamaana Dost Ho Jaye To Bohat Mohtat Ho Jana

Zamaana Dost Ho Jaye To Bohat Mohtat Ho Jana

Kisi K Rung Badalne Main Zara Si Dair Lagti Hai

Koi Jo Khawab Dekho To Usy Foran Bhula Dena

K Neenden Toot Jane Main Zara Si Dair Lagti Hai

Kisi Ko Dukh Kabhi Dena To Itna Soch Kar Dena

Kisi Ki Aah Lagne Main Zara Si Dair Lagti Hai

Bohat Hi Mo'tabar Hain Jin Ko Muhabbat Raas Aa Jaye

Kisi Ko Raah Badalne Main Zara Si Dair Lagti Hai...

Zamaana Dost Ho Jaye

From the woodcutter

The tree does not withdraw its shade from the woodcutter, So forgive the one who hurts u. They will realize ur worth one day.”

Ik larki ka number send kar doo

Wafadaar hain wafa karain gay,


Jaan mango fida karain gay,


Sirf 1 larki ka number send kar do,


Namazi log hain dua karain gay

Thursday, November 13, 2008

Har Roz Musalman Hota Hay

Asalam_O_Alaikum
Ya ALI (A.S) Madad
Salam Ya HUSSAIN (A.S)
Hi friends!!!
How r u?
I’m Arif Hussain Khan BangasH
Thats My Comments
ok
ALLAH Hafiz


Ali ke naam se toofan bhi khauf khate hain,
Jinhe yakin nahi wo doob jate hain.
Farishte qabr me kuch aur poochhte hi nahi
Zuban pe naam-e-Ali sun ke laut jate hain

Wednesday, November 12, 2008

Best Decent Message

WE ARE ALL CAPTIVES OF OUR OWN IDENTITIES LIVING IN THE PRISON OF OUR OWN CREATION ….

Ishq ko be-naqab hona tha – Jigar Moradabadi



Ishq ko be-naqab hona tha
aap apana javab hona tha
teri aankhon ka kuch qusur nahi
han mujhi ko kharab hona tha
dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
us ko sada kitab hona tha
hum ne nakamiyon ko dhund liya
aakhirash kamayab hona tha



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi



Pyar Karne Ka Andaaz

Mat Pucho Us K Pyar Karne Ka Andaaz Kesa Tha,          =”MOHSIN” =
Us Ne is Shiddat Se Sene Se Lgaya k Maut Bhi Na Hui  R Jan Bhi Nikl Gai…

Time of Difficulty

The prophet (Peace be upon him) said:


Remember ALLAH during times of ease


and HE will remember you during times of difficulty.


[Tirmidhi]

Fact About Life

Life means missing expected things and facing


unexpected things..


When you are right no one remember but when you are


wrong no one forgets.


That’s Life !!


Good Morning Sweeti Have a nice day.

Kahan Talaash Karo Ge Tum Mujh Jesa Shakhs

Kahan Talaash Karo Ge Tum Mujh Jesa Shakhs,
Jo Tumhara Sitm Bhi Sahe Or Tum Se Mohabbat Bhi Kare….

talaash

Tuesday, November 11, 2008

Karne Lage Tawaf Jahan Poojne Lage



Karne Lage Tawaf Jahan Poojne Lage
Daste-Hunar Wahi Hai Sanam Bolne Lage


Insaniat Ko Tum Bhi Kahan Khojne Lage
Moti Har Ek Seep Mein Kyon Dhoodhne Lage


Mausam Badal Gaya Hai Tumhen Kuch Khabar Bhi Hai
Aayee Bahar Aao Chaman Jhoomne Lage
Jitni Shadeed Dhoop Thi Rahe Hayat Mein
Utne Hi Unkee Zulf Ke Saye Ghane Lage


Jheeni Si Ek Naqab Hai Chehre Isliye
Aisa Na Ho Ki Chand Ka Dil Doobne Lage


Khushboo Bata Rahi Hai Ke Mausam Badal Gaya
Ayee Bahar Aao Chaman Jhoomne Lage


Dilbar Mere Libas Par Sadiyon Ki Dhool Hai
Do Kadamm Chal Ke Log Yahan Oobne Lage



Teri Yaadon Se Bach Niklun Mujhe Tadbeer De Koi

Teri Yaadon Se Bach Niklun Mujhe Tadbeer De Koi
Meri Jaaanib Se Har Rasta Teri Janib Nikalta Hai...

Submitted By: Waqas Ali

Dard ko dard dena bhi dard hai | Dard Poetry


‎"Dard ko dard dena bhi dard hai, 

Us dard main jalna bhi ik dard hai, 

Ye dard-e-muhabbat ki kahani hai jana, 

Jo is dard ko samjhe wohi mera hum-dard hai..."

mere dil me rehta

Jab rat k tanha lamho main,


Koi ahat mujh se kehti hai,


Iss dil main halchal rehti hai,


Koi jugno pas se guzre tou,


Koi baat halak se nikle tou,


Main khudse uljhne lgta hon,


Phir jane kya kya kehta hon,


Phir yad tumhari aati hai,


Phir pal do pal k lamhe ko,


Yeh sans meri ruk jati hai,


Ik shola dil main bharakta hai,


Woh dard sehar tak rehta hai,


Phir weham mujhe yeh kehta hai,


Koi mere dil me rehta he.

Zindagi par kash

Aaj bohat dukh ho ra haal e zindagi par Kash hum ne


haad m reh kar muhabbat ki hoti.

Monday, November 10, 2008

Heartiest Prayers for Ramadan

My five heartiest prayers for you in this holy month of ramadan…!


1- May Allah bless you with health,wealth and success
2-May Allah keep you in his protection forever.
3-May U always stay blessed n happy.
4-May you live long.
5-May Allah bless you and your family at the day of judgment..! Aameen

Aik Teri Yaad Hai



Aik Tera Ehsas Hay


Jo Haar Waqt Mere Saath Hay


Aik Teri Yaad Hai


Jo Din Raat Muje Turpati Hay,


Aik Umed Hay Tere Aane Ki,


Apna Tuje Banane Ki Na Chain Hay Na Sakun Hay


Yeh Kaisa Mera Haal Hay


Ratein Hogyi Hein Itni Lumbi Jo Kati Nhi Kati


Na Bhuk Hay Pyas Hay Na Koi Aas Paas Hay


Bas Aik Tera Ehsas Hay Jo Hr Waqt Mere Saath Hay ..?



Sunday, November 9, 2008

Kabhi Sham Dhalay Jab Hum Milay

Kabhi Sham Dhalay jab hum milay…
Na din Dhalay na Raat hoo…


Yeh Zindagi tere sath ho,
Yah Arzoo din raat ho…

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon



Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon


Sochta Hoon K Mohabbat Hay Junoo.N -E Ruswa
Chand Be-Kaar Sey Be-Hooda Khayaloo.N Ka Hojoom
Aik Aazad Ko Paband Banan’ey Ki Hawis
Aik Begaaney Ko Apnaney Ki Sa’ai-E Mohoom


Sochta Hoon K Mohabbat Hay Sar–R-E Masti
Is Ki Tanweer Main Roshan Hay Fizaa-E Hasti


Sochta Hon K Mohabbat Hay Bashar Ki Fitrat
Iska Mit Jana, Mita Dena Bohat Mushkil Hay
Sochta Hoon K Mohabbat Sey Hay Tabindah Hayyat
Aap Ye Shama Bujha Dena Bohat Mushkil Hay


Sochta Hoon K Mohabbat Pe Kari Shartain Hain
Ik Tamad’dun Main Mussarrat Pe Kari Shartain Hain


Sochta Hoon K Mohabbat Hay Ik Afsurda Si Laash
Chadaar-E Izzat-O Namoos Main Kafnaai Hoii
Door-E Sarmaya Ki Rondhi Hoi Ruswa Husti
Dargaah-E Mazhub-O Ikhlaaq Sey Thukraai Hoi


Sochta Hoon K Bash’r Aur Mohabbat Ka Junoo.N
Aisi Boseeda Tamaddun Sey Hay Ik Kaar-E Zaboo.N


Sochta Hoon K Mohabbat Na Bachey Gi Zinda
Paish Az Waqt Ki Sar Jaay Gi Galti Hoi Laash
Yehi Behter Hay K Begana-E Ulfat Ho Kar
Apney Seeney Main Karoo.N Jazba-E Nafrat Ki Talaash


Aur Soda-E Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begaana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon


Sahir Ludhyaanvi



Hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai – Munir Niazi



hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai
tumhen bhi kya kabhi koi divana yaad aata hai
havayen tez thin barish bhi thi tufan bhi tha lekin
tera aise mein bhi wada nibhana yaad aata hai
guzar chuki thi bahut raat baton baton mein
phir uth ke wo tera shamma bujhana yaad aata hai
ghatayen kitni dekhi hain par mujhe ‘asrar’
kisi ka rukh par wo zulfen girna yaad aata hai
hamesha der kar deta hun main
zaruri baat kahani ho
koi wada nibhana ho
use aavaz deni ho
use vapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karani ho usaki
yar ke dhadas bandhana ho
bahut derina raston par
kisi se milane jana ho
hamesha der kar deta hun main
badalate mausamon ke sair mein
dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho
kisi ko bhool jana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahale
kisi gham se bachana ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja ke ye batana ho
hamesha der kar deta hun main



 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



Khatm shab-e-qissa-e-mukhtasir na hui – Qamar Jalalvi



Khatm shab-e-qissa-e-mukhtasir na hui
shama gul ho gai sahar na hui
roi shabanam jala jo ghar mera
phul ke kam hansi magar na hui
hashr mein bhi wo kya milenge mujhe
jab mulaqat umr bhar na hui
aaina dekh kar ye kijiye shukr
aap ko aap ke nazar na hui
sab the mahafil mein un ke mahv-e-jamal
ek ko ek ke khabar na hui
sainkadon raat ke kiye wade
un ke raat aj tak “qamar” na hui


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalvi



Pathan Ki 2 Beveyan Lar Pari

Pathan ki 2 Beveyan Lar pari..
Aik boli k Aaj sunday Hay.
or 2sari boli ni Aaj Mondy Hay.
PATHAN Tang Aa k Bola
hum kya Pagal Hun.
Jo Juma parh k Aya Hun?

Saturday, November 8, 2008

Waseem brelvi shayari




Mili Hawaaon Mein Urdhne Ki Wo Saza Yaaron,.
Ke Main Zameen Ke Rishton Se Katt Gaya Yaaron,.


Wo Bekhayal Mussfir Main Rasta Yaaron,.
Kahaan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaron,.


Ke Mere Kalaam Pe Zamaane Ki Gard Aisi Thi,.
Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaron.,


Jo Beshumaar Dilon Ki Nazar Mein Rehta Tha,.
Wo Apne Bachchon Ko Ek Ghar Na De Saka Yaaron,.



Tumhaari raah main mitti ke ghar nahi aate
Isii liye to tumhein hum nazar nahi aate


MuhabbatoN ke dinon ki yehii kharaabi hai
Ye rooth jaayein to phir laut ker nahi aate


Jinhein saliqa hai tehziib-e-gham samajhne ka
Un’hi ke rone main aansoo nazar nahi aate


Khushi ki ankhon main ansoo ki bhi jagah rakhna
Bure zamaane kabhi pooch ker nahi aate




Mohabbat me buri neeyat se kuch socha nahi jata
Kaha jata hai usko bewafa samjha nahi jata


Jhukata hai yeh sar jiski ibadat ke liye us tak
Tera jazba to jata hai tera sajda nahi jata


Tumhare sath me koi nayapan hai to bas yeh hai
Bohat taqleef deta hai magar choda nahi jata


Share with us more Waseem brelvi shayari .in comments section below.



Badla Wafa Ka

Badla waafa ka dyen gaye bari sadgi sy hum,
Tum hum sy ruthe jao gaye aur zindagi sy hum !

Ajnabi shayari



Jaisy woh ajnabi larki


Mujh sey pyar karti hai


Mujhey chahti hai


Akser yunhi chup chup ker


Dekhti hai, janey kiya sooch ker


Nazrein chura jati hai


Kuch ghabra si jati hai


Apney aanchal ko hawaoon k zoor


per lehrati hai


Mehsoos mujhey yeh hota hai k


Shayad mujhey woh bohat chahti hai


Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay


Woh mujh sey kuch kehna chahti hai


Meray pochnay per kuch sharma si jati hai


Kuch ghabra si jati hai


?Suniyey? keh kar bhaag jati hai


Ajnabi larki shayad pyaar karti hai mujh sey


Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey


Dil bhi kitna pagal hai


Kiya kiya sochta rehta hai


Kuch masoom sey jazbey hain


Kuch undekhey sapney hain


Mager woh nahin janti shayad?!!!


Meri Zindagi Hai Wo?



Zindagi mein har chiz pahli baar hoti hai
kahin kisi se pyaar to kahin takrara hoti hai
jo kya hua ke hum ajnabi hai aapke liye
magar dosti ajnabiyon se hi pahli baar hoti hai




Unke Liye Ajnabi Hum Ho Gaye
Dosti Ke Kuch Silsile Kam Ho Gaye
Ab Khushiyon Se Zyada Gham Hain Zindagi Mein
Kya Pata Bewafa Waqt Hua Ya Badnaseeb Hum Ho Gaye…



Share with us more ..Ajnabi shayari .in comments section below



Birthday Celebrations



I Celebrate You
On your birthday, I celebrate you!
On your special day,
I’m thinking of all the wonderful things you are
that bring so much joy to others, including me!
I celebrate your unconquerable spirit,
that lets you meet every challenge
with confidence, enthusiasm and persistence.
I admire your sensitivity.
You see needs that cry out to be met
that no one else sees,
and you meet them,
out of your deep and caring heart,
out of your wisdom,
out of your strength.
I treasure your uniqueness;
There is no one else like you,
and I feel blessed to know
such an extraordinary person.
I appreciate you, respect you,
cherish you, look up to you.
Happy, happy birthday!
May each new birthday
be the best one ever for you;
You deserve it!


By Joanna Fuchs



Jis Ne Is Dour K Insaan Kiye Hain Paida

Jis Ne Is Dour K Insaan Kiye Hain Paida

Wohi Mera Bhi Khuda Ho Mujhe Manzoor Nahi...

Jis Ne Is Dour

Pathan Travel Agency

Pathan-
Yaha pr sb travel agency fazool hn


Major Rohail-
Kyu khab sahb?


Pathan-
Sb agencyan sirf HAJJ krva rhe hn
Pr
Hm ne HAJJ E AKBR krna hy


From: Asma Zafar

Friday, November 7, 2008

Wishing You Eid

Wishing you all a very happy eid,
And hoping that all the things you wish
For will be yours throughout the year…
Eid mubarak!!

10 Muharam SMS in Hindi



2 Azeem Qurbaniyaan


(1) Eid-Ul-Azah
(2) Moharam-Ul-Haram


Sal Ka Akhri Mahina Bhi Qurbani,
Pehla Bhi Qurbani


Wo Bhi 10 Ko
Ye Bhi 10 Ko


Wo Bhi Nabi Ka Laal,
Ye Bhi Nabi Ka Laal


Unki Yad Bhi Manaty Hen,
Inki Yad Bhi Manaty Hen


Ye Zabh-E-Azeem,
Wo Shaheed-E-Azeem.


Inhon Ne Khowab Nibhaya,
Unhon Ne Wada Nibhaya.


Wo Sabr Ki Ibtida,
Ye Sabr Ki Intiha.


Ye Kaaba K Banany Waly,
Woh Kaaba Ko Bachany Wale.


Subhaan Allah



I hate Cigarettes

Girl: I hate Cigarettes .. I never touch it..


Boy: Me too hate Cigarettes. I always burn it.

smallest resignation letter

World’s smallest resignation letter…
“Dear Sir,


yaaaakh thoo.


Thank You” 😀

Funny Reply Of Proposal

Boy Proposed A Girl:
I Fell In Love Wid you the Minute I Saw you. Wil U Marry Me?
Girl:
Urdu Bolo Meki englash Ni Ashni.
Boy:
Kuch Nhi Behan, Barish Ho Rhi Ha.

Chand Raat Mubarak Sms

,,’
,”, *
,
‘ ,’,’,’, ‘
çHÅÑD raat böhät böhät MUBÅRÅK ho.

Tasveer Meri Nazar Me Utaaro



Lab Pe Sharm, Aankho Me Haya Liye,
Yuhi Pyaar Se Tum Mujhe Pukaaro.
Dhadkano Me Dhaalo Mujhe Tum,
Tasveer Meri Nazar Me Utaaro.
Nahi Hai Mujhsi Nazar Zamaane Me..
Meri Nigaaho Se Khud Ko Nihaaro.
Kaii Uljhhano Me Uljha Hua Hu,
Aao Zindagi Me, Tum Isko Sanwaaro…


Submitted by :Kafas



Paigaam Urdu shayari



Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do


Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do


Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do


Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do


Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do



Share with us more Paigaam Urdu shayari in Comments Section below.




Thursday, November 6, 2008

Aik muskrahat the

Waqt Sub Kuch Hi Chheen Laita Hai


Ye Tuo Phir Aik Muskrahat Thee

Founder of the world’s biggest NGO

Founder of the world’s biggest NGO for the Mothers rights, John Michael said,
“I always hate my Mom. She had only one Eye, that made her very ugly. After getting married, I had never met her 4 many years.
But Before her death she wrote me a letter saying,
“O my dear son!
You have been hating me throughout your life, because I had only one eye. Now before leaving this World I want to disclose that, in your childhood you had accidentally lost ur eye. You looked very ugly, but to make you look beautiful I donated one of my eye to you & i still love u.

Kisi Ki Aankh Se Mohsin

Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko


Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko


Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se


Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay Osko


Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath


Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay usko


Wo Ashk Tha Ose Aankhon Mein Dafan Hona Tha


Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay usko


Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta


Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay Osko


Kisi Ki Aankh Se Mohsin Zaroor Peeta Hai


Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay usko

Wednesday, November 5, 2008

Night Has Ended For Another Day

Night has ended for another day,
morning has come in a special way.
May you smile like the sunny rays
and leaves your worries at the blue blue bay.
Good Morning

Hamesha Apni Chhotti Chhotti Ghaltiyon Se

Hamesha apni chhotti chhotti ghaltiyon se bachne ki koshish karo!
Q k insan paharron se nhi chottay pathron se thokar khata hai.
HAZRAT ALI. (R.A)

Tujh ko dariyadili ke qasam saqiya



Tujh ko dariyadili ke qasam saqiya
mushtaqil daur par daur chalata rahe
raunaq-e-maikada yun hi badati rahe
ik girata rahe ik sambhalata rahe
sirf shabanam hi shan-e-gulistan nahi
shola-o-gul ka bhi daur chalata rahe
ashk bhi chashm-e-purnam se behte rahen
aur dil se dhuan bhi nikalata rahe
tere kabaze mein hai ye mizami jahan
tu jo chahe to sahara bane gulistan
har nazar par teri phul khilate rahe
har ishare pe mausam badalata rahe
tere chehare pe ye zulf bikhari hui
neend ke god mein subah nikhari hui
aur is par sitam ye adayen teri dil hai
aakhir kahan tak sambhalata rahe
is mein khun-e-tamanna ke tasir hai
ye vafa-e-muhabbat ke tasvir hai
aisi tasvir badle ye mumkin nahi
rang chahe zamana badalata rahe


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Poet Unknown



Hum Toot Ke Rote Hain

Betab Se Rehte He Teri Yad Me Aksar
Rat Bhar Nhi Sote Teri Yad Me Aksar


Jism Me Dard Ka Bahana Sa Bana K


Hum Toot K Rote He Teri Yad Me Aksr. . .

Wishing you EID Mubarak

May God send his Love like Sunshine in his warm and


gentle ways to fill every corner of your Heart and


filled your Life with a lot of Happiness like this EID DAY.


Wishing you EID MUBARAK.

Tere Ankhon ka Tara

Kaash main teri Aankh mein pani ban jaoon,


Faraz,


Aur tu kabi na roye mujhe khonay k dar say..!

Tuesday, November 4, 2008

Faraz In African

Ahmed Faraz In Africa;


Hunu Lunu Shinga Mamba Jamba FARAZ,
Shinga La Mamba Jheenga Lala Hu Hu…

Ankho My Goror Hy

Ankho My Goror Hy
Dil My Soror Hy
Koi Mangy Mera Number To Dena Zaror Hy
Q K
Meri Shadi Abi Bohat Do0o0or Hy: ->

Hoping That The Love You

Hoping that the love you shared years ago Is still as strong today as it was then Bringing you much joy ,
love and happiness To celebrate again.

Monday, November 3, 2008

Dil ke chahat

Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai,


Tere Lout ane Ka Imkan Saja Rakha hai,

Tit For Tat

My ATTITUDE in exams.
They give me questi0ns Which i don’t know.So…..
I give them answers which they d0nt know.:-)
Tit for tat…:-P

Pyas wo dil ke bujhane kabhi aaya bhi nahi – Qateel Shifai



pyas wo dil ke bujhane kabhi aaya bhi nahi
kaisa badal hai jisaka koi saya bhi nahi
berukhi is se badi aur bhala kya hogi
ek muddat se hamen us ne sataya bhi nahi
roz aata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
aj tak hum ne jise pas bulaya bhi nahi
sun liya kaise khuda jane zamane bhar ne
wo fasana jo kabhi hum ne sunaya bhi nahi
tum to shayar ho ‘qateel’ aur wo ik aam sa shakhs
us ne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahi



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Qateel Shifai



Sunday, November 2, 2008

I Wish That God

i wish that God would hold u tite. i hope that angels will
keep u in site. Now just2make sure u feel all rite, im
gonna wish u a wonderful nite! sleep tite!!

Funny Sardar Sms

Sardar: Mery dada ny 1857 ki jang mein dushman ki taangain tak kat dee thien..


Dost: Gardnain kyn ni kati?


Sardar: Wo pehly he kati pari thi……..


From: Qamar Saghir ( 03315161307)

Qabil e rashk bunya

Meri janib na kiya dast-e-tawangar tune
De diya khud hi mujhe phar ke chhappar tune


Apna mohtaj banaya ye karam hai tera
Shukr hai mujh ko phiraya nahin dar dar tune


Kis tarah teri attaon ki main taareef karun
Bhar diya hai mere kashkol men gauhar tune


Fazl se apne atta ki hai har ek shay mujhko
Qabil-e-rashk banaya hai muqaddar tune


Aadmi apne hi kirdaar se gir jata hai
Koi insaan banaya nahin kamtar tune


Meri kya baat hai kis baat pe main naaz karun
Sainkron mujh sa banaya hai sokhanwar tune

Saturday, November 1, 2008

Happy Mothers Day Shayari



Every time I see my pansies
Vivid in the golden sun,
You are with me in my garden,
And I am once again a child.
Vivid in the golden sun,
Their beauty brings me close to tears,
And I am once again a child
Learning to assume your grace.


Their beauty brings me close to tears
As I join hands with you in love,
Learning to assume your grace,
Dancing to your inner music.


As I join hands with you in love,
You are with me in my garden,
Dancing to your inner music
Every time I see my pansies.



Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,


Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,
Aur ham bhi teri yaad me dil khool ke roye...!

Love Poems in English



Your words vibrate through my soul
Awakenings and racing thoughts on the go
My heart has been hit
You need to know


My friends flash warnings
Love and concern casts their doubts
How could I know
They steer me away


In the shadows I stay
Not letting go
My mind has lost control
I just don’t know


Ulterior motives
Player on the move
All possibilities
What do I have to lose


I voice my fears
Heart already shakes and quivers
You listen and feel
“Patience” you reveal


I’m scared
I’m excited
I’m anxious
I’m delighted


Emotions unlocked
I let you in
Feelings enhanced
There’s no return


Your words sing to me
Time soars by
I’m entranced by you
Pure laughter and joy


I feel a great loss
When we’re unable to talk
I can never get enough
You’ve become a part of me