Sunday, November 2, 2008

Qabil e rashk bunya

Meri janib na kiya dast-e-tawangar tune
De diya khud hi mujhe phar ke chhappar tune


Apna mohtaj banaya ye karam hai tera
Shukr hai mujh ko phiraya nahin dar dar tune


Kis tarah teri attaon ki main taareef karun
Bhar diya hai mere kashkol men gauhar tune


Fazl se apne atta ki hai har ek shay mujhko
Qabil-e-rashk banaya hai muqaddar tune


Aadmi apne hi kirdaar se gir jata hai
Koi insaan banaya nahin kamtar tune


Meri kya baat hai kis baat pe main naaz karun
Sainkron mujh sa banaya hai sokhanwar tune

No comments:

Post a Comment