Sunday, November 23, 2008

Chaman ke baharon mai tha aashiyana



chaman ke baharon mai tha aashiyana
na jane kahan kho gaya wo zamana


tumhen bhulane ke main koshish karunga
ye wada karo ke na tum yad aana


mujhe mere mitane ka gam hai to ye hai
tumhen bevafa kah raha hai zamana


khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Qamar Jalalvi



No comments:

Post a Comment