Sunday, November 9, 2008

Khatm shab-e-qissa-e-mukhtasir na hui – Qamar Jalalvi



Khatm shab-e-qissa-e-mukhtasir na hui
shama gul ho gai sahar na hui
roi shabanam jala jo ghar mera
phul ke kam hansi magar na hui
hashr mein bhi wo kya milenge mujhe
jab mulaqat umr bhar na hui
aaina dekh kar ye kijiye shukr
aap ko aap ke nazar na hui
sab the mahafil mein un ke mahv-e-jamal
ek ko ek ke khabar na hui
sainkadon raat ke kiye wade
un ke raat aj tak “qamar” na hui


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalvi



No comments:

Post a Comment