Sunday, November 9, 2008

Hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai – Munir Niazi



hamen to ab bhi wo guzra zamana yaad aata hai
tumhen bhi kya kabhi koi divana yaad aata hai
havayen tez thin barish bhi thi tufan bhi tha lekin
tera aise mein bhi wada nibhana yaad aata hai
guzar chuki thi bahut raat baton baton mein
phir uth ke wo tera shamma bujhana yaad aata hai
ghatayen kitni dekhi hain par mujhe ‘asrar’
kisi ka rukh par wo zulfen girna yaad aata hai
hamesha der kar deta hun main
zaruri baat kahani ho
koi wada nibhana ho
use aavaz deni ho
use vapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karani ho usaki
yar ke dhadas bandhana ho
bahut derina raston par
kisi se milane jana ho
hamesha der kar deta hun main
badalate mausamon ke sair mein
dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho
kisi ko bhool jana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahale
kisi gham se bachana ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja ke ye batana ho
hamesha der kar deta hun main



 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Munir Niazi



No comments:

Post a Comment