Saturday, November 29, 2008

raat aayi hai balaon se rihai degi -Anwar Masood



raat aayi hai balaon se rihai degi
ab na divar na zanjir dikhai degi
waqt guzra hai pa mausam nahi badala yaro
aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi
ye dhundalaka sa jo hai us ko ganimat jano
dekhana phir koi surat na sujhai degi
dil jo tutega to ik turfa tamasha hoga
kitne aainon mein ye shaql dikhai degi
sath ke ghar mein bada shor barpa hai ‘anwar’
koi aayega to dastak na sunai degi


Poet of The / Ghazal or Nazam :    Anwar Masood



No comments:

Post a Comment