Sunday, November 9, 2008

Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon



Sochta Hoon K Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon


Sochta Hoon K Mohabbat Hay Junoo.N -E Ruswa
Chand Be-Kaar Sey Be-Hooda Khayaloo.N Ka Hojoom
Aik Aazad Ko Paband Banan’ey Ki Hawis
Aik Begaaney Ko Apnaney Ki Sa’ai-E Mohoom


Sochta Hoon K Mohabbat Hay Sar–R-E Masti
Is Ki Tanweer Main Roshan Hay Fizaa-E Hasti


Sochta Hon K Mohabbat Hay Bashar Ki Fitrat
Iska Mit Jana, Mita Dena Bohat Mushkil Hay
Sochta Hoon K Mohabbat Sey Hay Tabindah Hayyat
Aap Ye Shama Bujha Dena Bohat Mushkil Hay


Sochta Hoon K Mohabbat Pe Kari Shartain Hain
Ik Tamad’dun Main Mussarrat Pe Kari Shartain Hain


Sochta Hoon K Mohabbat Hay Ik Afsurda Si Laash
Chadaar-E Izzat-O Namoos Main Kafnaai Hoii
Door-E Sarmaya Ki Rondhi Hoi Ruswa Husti
Dargaah-E Mazhub-O Ikhlaaq Sey Thukraai Hoi


Sochta Hoon K Bash’r Aur Mohabbat Ka Junoo.N
Aisi Boseeda Tamaddun Sey Hay Ik Kaar-E Zaboo.N


Sochta Hoon K Mohabbat Na Bachey Gi Zinda
Paish Az Waqt Ki Sar Jaay Gi Galti Hoi Laash
Yehi Behter Hay K Begana-E Ulfat Ho Kar
Apney Seeney Main Karoo.N Jazba-E Nafrat Ki Talaash


Aur Soda-E Mohabbat Sey Kinara Kar Loon
Dill Ko Begaana-E Targeeb-O Tammanna Kar Loon


Sahir Ludhyaanvi



No comments:

Post a Comment