Monday, November 17, 2008

Bicharna sms



main tere milnay ko moajza keh raha tha lekin..


tere bicharnay ka saniha bhi kamaal guzra…!



hijr kay mausam main ye barish ka barasna kaisa !


aik sehra say samandar ka guzarna kaisa ?


aey meray dil na paraishan ho ‘tanha ho kar!


wo teray saath chala kab tha ‘bicharna kaisa?


Jab shajar saath na de ‘haar samajh bethay to !


zard patton ka hawaon say ulajhna kaisa ?


chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain !


pyar karna hai to phir maut say darna kaisa ?


Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna ae dil !


us nay iqraar kia kab tha mukarna kaisa ?


Share with us more Bicharna sms in Comments Section below.



No comments:

Post a Comment