Thursday, October 11, 2007

Muharram Nauhay SMS



Pardh Kai Mahzar, Jab Madine Sai Chalaa Oh Khafela
Qasim O Abbas O Akbar Aur Sibt-e-Mustafa
Saath Main Zainab, Sakina Aur Ruhe-e-Fatema
Sayyed-e-Sajjad Asghar, Saath Sughra Ki Dua
Khafela Tha Eik, Laykin Do Thay Ruh-e-Khafela
Ek Ali Ki Ladli Thi, Ek Ali Ka Laal Tha


Haaie Oh Kis Shaan Sai, Nikle Thay Sui-e-Karbala
Saath Abbas-e-Jari, Qabze Main Tegh-e-Murtaza


Markaz-e-Taazim Theen, Do Hastiyan Har Ek Ka


Apne Batoon Ku Fida, Bhai Pe Zainab Ne Kiya
Bhai Mar Ke Bhi Na Zainab, Sai Huwa Ek Pal Juda
Sar Barehna Oh Chali, Oh Barsare Neza Chalaa


Sar Diya Bhai Nai Chaadar Di Bahen Nai Deen Ku
Na Bahen Aysi, Na Aysa Bhai Hoga Momino
Jis Nai Sar Unchaa Kiya Hai, Baani-e-Islaam Ka


Sar Barehna Thi Bahen To Bhai Bhi Tha Bai Kafan
Bhai Kai Baazu Juda, Bahnaa Kai Baazu Mai Rasan
Sar Kiya Donoon Nai, Mil Kar Karbala Ka Maarka


Bhai Nai Chae Maah Kai Bache Ki Mayyat Ghaar Kar
Ek Nayi Tarikh Likhi Karbala Ke Khaak Par
Shukar Ka Sajda Jawan Baite Ke Mayyat Par Kiya


Thi Rasan Basta Bahen Laykin Jalalat Al-Amaan
Khutba-e-Zainab Sai Larzan Thai Zameen-o-Aasmaan
Rakh Diya Takhta Palat Kar, Jis Nai Mulk-e-Shaam Ka


Bhai Khaak-o-Khoon Main Ghaltan Aur Zindaan Mai Behan
Aabrou-e-Mustafa Ek, Aabrou-e-Panjatan
Dourta Tha Jism Main Donoon Kai Sheer-e-Sayyada


Tashat Main Bhai Ka Sar, Zainab Bahr-e-Darbar Main
Koie Bhi Insaan Nahi Tha Lashkar-e-Kuffar Main
Khaak Madfan Main, Uratai Thai Nabi-e-Dosra



No comments:

Post a Comment