hui hai sham to aankhon mein bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahar ke musafir tu
bahut udas hai ik shakhs tere jane se
jo ho sake to chala aa usi ke khatir tu
meri misal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahara hun
tera khayal ki shakh-e-chaman ka tair tu
main janata hun ke duniya tujhe badal degi
main manata hun ke aisa nahi bazahir tu
hansi khushi se bichad ja agar bichadana hai
ye har maqam pe kya sochata hai aakhir tu
‘faraz’ tune use mushkilon mein dal diya
zamana sahib-e-zar aur sirf shayar tu
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment