Sunday, October 28, 2007

Bahar aayi to jaise ek bar – Faiz Ahmed Faiz



Bahar aayi to jaise ek bar
laut aaye hain phir adam se
wo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit ke har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain


ubal pade hain azab sare
malal-e-ahaval-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir ke bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar aayi to khul gaye hain
naye sire se hisab sare



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz



No comments:

Post a Comment