Subah raton mein bikhar jati hai
sham bahon mein utar jati hai
din sulag uthta hai chandan ke tarah
raat nagan si lipat jati hai
kisi gumbad ke sada ke manind
fikr ko fikr hi doharati hai
qafile se mujhe rahane do alag
bheed mein ruh bikhar jati hai
lajavanti hai kisi shokh ke yaad
dil bhi dhadake to simat jati hai
doli aankhon ke hai suni “hurmat”
neend mahbub (se/si?) sharmati hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hurmatul Ikram
No comments:
Post a Comment