Wednesday, October 24, 2007

Aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye – Jigar Moradabadi



aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye
khvabida zindagi thi jaga kar chale gaye
chehare tak aastin wo lakar chale gaye
kya raz tha ki jis ko chipakar chale gaye
rag rag mein is tarah wo sama kar chale gaye
jaise mujh hi ko mujhase churakar chale gaye
aaye the dil ke pyas bujhane ke vaste
ik aag si wo aur laga kar chale gaye
lab thar-thara ke rah gaye lekin wo ae “jigar”
jate huye nigah milakar chale gaye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jigar Moradabadi




No comments:

Post a Comment