pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use aah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya
mujhe dafn karana tu jis ghadi to ye us se kahana ki ae pari
wo jo tera aashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya
dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kaheen jave us ka na dil dahal meri lash par se hata diya
meri aankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha ki uth ke chal
dil-e-beqarar ne o miyan waheen chutaki leke jaga diya
zara un ke shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aaye dabe-dabe mujhe sanp kah ke dara diya
main ne dil diya main ne jan di magar aah! tune na qadr ke
kisi baat ko jo kaha kabhi use chutakiyon mein uda diya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam:Bahadur Shah Zafar
No comments:
Post a Comment