Thursday, October 11, 2007

Khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakata hai – Zaka Siddiqui



Khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakata hai
sannata hi gunj raha ho aisa bhi ho sakata hai
mera mazi mujh se bichad kar kya jane kis hal mein hai
meri tarah wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakata hai
sahara sahara kab tak main dhundhun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sahara ho aisa bhi ho sakata hai
ahl-e-tufan soch rahe hain sahil duba jata hai
khud un ka dil dub raha ho aisa bhi ho sakata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zaka Siddiqui



No comments:

Post a Comment