Saturday, October 13, 2007

Utarin ajeeb roshaniyan raat khwab mein-Shakeb Jalali



utarin ajeeb roshaniyan raat khwab mein
kya kya na aks tair rahe the sarab mein
kab se hain ek harf pe nazaren jamin huin
wo padh raha hun jo nahi likkha kitab mein
phir teergi ke khwab se chaunka hai rasta
phir raushani-si daud gai hai sahab mein
pani nahi ki apne hi chehare ko dekh lun
manzar zamin ke dhundhata hun mahatab mein
kab tak rahega ruh pe pairahan-e-badan
kab tak hawa asir rahegi hubab mein
jine ke sath maut ka dar hai laga hua
khushki dikhai di hai samandar ko khwab mein
ek yaad hai ki chin rahi hai labon se jam
ek aks hai ki kanp raha hai sharab mein


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Shakeb Jalali



No comments:

Post a Comment