Teri umeed tera intazar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere naam raqam
gila hai jo bhi kisi se teri sabab se hai
hua hai jab se dil-e-nasabur beqabu
kalam tujhase nazar ko badi adab se hai
agar sharar hai to bhadake, jo phul hai to khile
tarah tarah ke talab tere rang-e-lab se hai
kahan gaye shab-e-furqat ke jaganevale
sitara-e-sahar ham-kalam kab se hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment