Friday, January 5, 2007

Yaro mujhe mu’af karo main nashe mein hun – Hasrat Jaipuri



Yaro mujhe mu’af karo main nashe mein hun
ab thodi dur sath chalo main nashe mein hun
jo kucch hi kah raha hun nasha bolata hai ye
is ka na kucch khayal karo main nashe mein hun
us maikade ke reh me gir jaun na kaheen
ab mera hath tham to lo main nashe mein hun
mujhko to apne ghar ka pata yaad hi nahi
tum mere aas pas raho main nashe mein hun
kaisi guzar rahi hai muhabbat mein zindagi
“hasrat” kuch apna hal kaho main nashe mein hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Jaipuri



No comments:

Post a Comment