Sunday, January 28, 2007

Dard Bhari Shayaris



Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.


Kho Gayi Tahazeeb-Insani Insanon Se,
Insaniyat Bhi Insan Khone Lage Hain.


Kal Tak Thi Chhoone Se Nafarat Jinhen,
Wo Bhi Munh Sharab Se Dhone Lage Hain.


Doston Ki Dost…. Bharosa Uth Gaya Insan Ka Insan Se,
Bete Bhi Zamanat Baap Se Lene Lage Hain.

Farz Bacha Hi Nahin Is Jahan Mein Koi,
Nauker Ke Bhi Malik Pe Ehasan Hone Lage Hain.


Doston Ki Dost….. Ehasan Jispar Kiye Jisne,
Usee Ki Badaulat Wo Badnam Hone Lage Hain.


Yaron Dil Lagana Na Kisi Se,
Mohabbat Ke Bure Anzam Hone Lage Hain.


Doston Ki Dost… Bikte Hain Eeman Daulat Ki Khatir,
Izzat Ke Saude Sare Aam Hone Lage Hain.


Ibadat Bhi Mandir Mein Daulat Ki Hoti,
Log Daulat Ka Sham-O-Subah Naam Lene Lage Hain.


Doston Ki Dost… Gam Mein Aadat Thi Muskurane Ki Jinko,
Wo Bhi Hoker Behal Rone Lage Hain.


Ab Khuda Hi Jane Is Jahan Ka Kya Hoga Manzer,
Izafe Julm-O-Sitam Mein Her Saal Hone Lage Hain.


Doston Ki Dost Hi Jaan Lene Lage Hain.
Ab To Vafa Mein Bhi Imtahan Hone Lage Hain.


By Sahil Verma



No comments:

Post a Comment