Friday, January 19, 2007

Teri baten hi sunane aaye – Ahmed Faraz



Teri baten hi sunane aaye
dost bhi dil hi dukhane aaye
phul khilate hain to hum sochate hain
tere aane ke zamane aaye
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe hal sunane aaye
ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gam
kon ye bojh uthane aaye
ajanabi dost hamen dekh ke hum
kuch tujhe yaad dilane aaye
dil dhadakata hai safar ke hangam
kash phir koi bulane aaye
ab to rone se bhi dil dukhata hai
shayad ab hosh thikane aaye
kya kaheen phir koi basti ujadi
log q jashn manane aaye
so raho maut ke pehlu mein ‘faraz’
neend kis waqt na jane aaye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz



No comments:

Post a Comment