Zakhm Bhi Khana Tabassum Bhi Labo’n Par Rakhna
Kis Ki Taqleed Hai Aaiiney Pe Pathhar Rakhna
Phir Parakhna Meri Masoom Talab Ko Ai Dost
Chund Angaarey Bhi Pholo’n K Barabar Rakhna
Aasma’n Lakh Mujhey Sajda E Ta’azeem Karey
Mai Na Bhuloonga Magar Paoo’n Zamee’n Par Rakhna
Goonj Sakti Hai Kisi Waqt Koi Tishna Sada
Apni Tehveel Mai Darya Na Samandar Rakhna
Bhigi Palko’n Se Saza Hijr Ki Dene Waley
Mujhse Kab Hoga Ye Manzar Pas E Manzar Rakhna
Kal Bhi Rona Hai Tumhe Subho Ki Mayyat Pe FAHEEM
Kuchh Lahoo Dida E Garya’n Mai Bacha Kar Rakhna
No comments:
Post a Comment