Baith jata hun jahan chanv ghani hoti hai
haye kya cheez garib-ul-vatani hoti hai
din ko ik nur barasata hai meri turbat par
rat ko chadar-e-mahatab tani hoti hai
lut gaya wo tere kuche mai rakha jis ne qadam
is tarah ke bhi kaheen rahazani hoti hai
hijr mai zeher hai sagar ka lagana munh se
may ke jo bund hai hiron ke kani hoti hai
huk uthati hai agar zabt-e-fugan karta hun
sans rukati hai to barchi ke ani hoti hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Jaunpuri
No comments:
Post a Comment