Chalo Tum Saath Toh
Zindgi Suhana Safar Ho Jaaye
Raho Jab Saath Toh
Apna Bhi Ek Ghar Ho Jaaye
Muskuraao Tum Jab-Jab Toh
Phoolo Mai Mehak Ho Jaaye
Lehraao Kabhi Baalo Ko Toh
Fiza Mai Baarish Ho Jaaye
Aao Kabhi Tum Paas Toh
Haath Se Haath Ka Chhoona Ho Jaaye
Chaahe Kitne Chup Rehte Ho Hont Toh
Dheere Se Lafzo Ka Sunna Ho Jaaye
Gar Baate Karo Sakhiyo Se Toh
Apne Saath Humara Bhi Zikr Ho Jaaye
Ghar Ke Darwaze Pe Kuch Socho Toh
Usme Intezaar Ka Ek Pal Humara Ho Jaaye
Shaam Ko Tum Suraj Ka Dhalna Dekho Toh
Meri Kisi Baat Se Tumhara Palke Gili Karna Ho Jaaye
Raat Ke Aasma Ke Taaro Ko Tum Dekho Toh
Kahi Sapne Mai Mera Tum Se Milna Ho Jaaye
No comments:
Post a Comment