Tuesday, January 16, 2007

Kitna Chahta Hoon Tujhe Ye Mujhko Pata Nahi

KAASH MEN TERE HASEEN HATH KA KANGAN HOTA…….


tu bare piyar se chah se bare man ke
sath…
apni nazuk si kalai main charhate
mujh ko…
aur betabi say furqat ke khiza lamhon
main…
tu kisi soch main dobe jo ghumate mujh
ko…
main tere hath ki khushbu se mehak sa
jata…
jab kabhi mood main akar mujhe chuma
karte…
tere honton ki mehak se behak sa
jata…
rat ko jab bhi tu nind ke safar pe jate…
naram hathon ka ik takiya banaaya karte…
main tere kan say lag kar kaii batain
karta…
tere zulfon ko tere gal ko chumaa karta…
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka
nasha…
main teri rooh ke gulshan main mehakta
rehta…
main tere jism ke angan main khanakta
rehta…
kuch nahin to yehi benam sa bandhan
hota…
kash main tere hanseen hath ka kangan
hota…
KAASH MEN TERE HASEEN HATH KA KANGAN HOTA….

No comments:

Post a Comment