Saqiya tera isarar apni jagah
tere maikash ka inkar apni jagah
teg apni jagah dar apni jagah
aur haqiqat ka izhar apni jagah
ab khandahar hai khandar hi kaho dosto
shish mahalon ke aasar apni jagah
tur par lakh musa se ho guftagu
arsh-e-azam pe didar apni jagah
avvalan haq ne takhliq jis ko kiya
sab ke bad us ka izhar apni jagah
mukhtasar ye bata sar ba-kaf kon tha
jit apni jagah har apni jagah
bhai se bhai ke kuch taqaze bhi hain
sahan ke bich ke divar apni jagah
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Nawaz Deobandi
No comments:
Post a Comment