Tuesday, January 2, 2007

Khulegi is nazar pe chashm-e-tar aahista aahista – Parveen Shakir



Khulegi is nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
kiya jata hai pani mein safar aahista aahista
koi zanjir phir vapas waheen par le ke aati hai
kathin ho reh to chutata hai ghar aahista aahista
badal dena hai rasta ya kaheen par baith jana hai
ki thakata ja raha hai hamsafar aahista aahista
khalish ke sath is dil se na meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai magar aahista aahista
hua hai sarkashi mein phul ka apna ziyan, dekha
so jhukata ja raha hai ab ye sar aahista aahista
meri sholamizaji ko wo jangal kaise ras aaye
hawa bhi sans leti ho jidhar aahista aahista


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Parveen Shakir



No comments:

Post a Comment