Kanton ke chubhan pai phoolon ka maza bhi
dil dard ke mausam mein roya bhi hansa bhi
aane ka sabab yaad na jane ke khabar hai
wo dil mein raha aur use tod gaya bhi
har ek se manzil ka pata puch raha hai
gumrah mere sath hua rahnuma bhi
‘gumnam’ kabhi apanon se jo gham huye hasil
kuch yaad rahe un mein kuch bhool gaya bhi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Surender Malik Gumnaam
No comments:
Post a Comment