Monday, January 8, 2007

Jab tere shahar se guzarata hun –



jab tere shahar se guzarata hun
dil bhi karta hai yaad chup ke tujhe
naam leti nahi zuban tera
ye bhi nahi mujhe malum
kis mohalle mein hai makan tera
kon si shakh-e-gul pe raqsan hai
rashk-e-firdaus aashiyan tera
jane kin vadiyon
mein thehara hai
girat-e-husn karavan tera
kis se puchunga main khabar teri
kon batalayega nishan tera
teri rusvaiyon se darta hun
jab tere shahar se guzarata hun
hal-e-dil bhi na kah saka garche
tu rahi muddaton qarib mere
kuch teri azmaton ka dar bhi tha
kuch khayalat the ajeeb mere
aakhir kar wo ghadi aayi
bar-e-dar ho gaye raqib mere
tu mujhe chod ke chali bhi gai
khair qismat meri nasib mere
ab main kyon tujh se pyar karta hun
jab tere shahar se guzarata hun
wo zamana teri muhabbat ka
ek bhuli hui kahani hai
tere kuche mein umr bhar na gaye
sari duniya ke khak chani hai
lazzat-e-qarb ho ke zakhm-e-firaq
jo bhi hai teri meharabani hai
kis tamanna se tujh ko chaha tha
kis muhabbat se har mani hai
apni qismat pe naz karta hun
jab tere shahar se guzarata hun


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Saifuddin Saif



No comments:

Post a Comment