Haan Yeh Aasan Nahi
K Main
Khud Ko Tujh Se Juda Karlon
Per Itna Bhi Mushkil Nahi
Tujh Ko Alwida Kehna
Aansoo Jo Huey Teri Amanat
Lauta Dongi
Woh Yaadein
Wohi Haseen Yaadein
Haan Main Sab Bhula Dongi
Agar Main Chahon…….
Safar Jo Zindagi Ka
Tera Haath Thaam Kar Guzara
Main Ne….
In Kadmoo Ka
Aik Aik Naksh Mita Dongi
Haan Main Woh Sab Jhutla Dongi……
Main Janti Hon
Meri Rooh Main Basi
Hay Teri Khushboo
Meri Rago Main Hay Dorta
Teri Chahato Ka Laho
Main Na Chahon Bhi Tau
Tujhe Hi Pukarti Hon
Per Main Apne Lafz See Longi
Khud Pe Khamooshi Ka Khol
Charha Longi
Teri Har Umeed Bhuja Dongi
Har Woh Raasta Jo Teri Jaanib Jaata Hay
Badal Don Gi…….
Woh Aashiyana
Jo Hum Tum Ne
Aik Dojay K Liye Banaya Tha
Main Usse Aag Laga Dongi
Main Teri Nazro Se Ohjal Hojaon Gi
Teri Duniya
Se Door Chli Jaon Gi
Agar Na Karsaki Aisa
Khud Pe Bhes Charha K
Ajnabi Ho Jaon Gi………..
Agar Na Karsaki
Aisa…….
Khamooshi Se
Apne Daaman Main Tera Aks Sametay
Zindagi Se Aanchal Chura K
Andhero Main Kho Jaon Gi
Per Kasam Hay
Na Kisi Aur Ki Bano Gi
Na Tere Paas Lauton Gi
Tuesday, January 9, 2007
Haan Yeh Aasan Nahi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment