Friday, January 5, 2007

Duniya jise kahate hain jadu ka khilona hai – Nida Fazli



Duniya jise kahate hain jadu ka khilona hai
mil jaye to matti hai kho jaye to sona hai
acha sa koi mausam tanaha sa koi aalam
har waqt aa rona to bekar ka rona hai
barsat ka badal to divana hai kya jane
kis rah se bachana hai kis chat ko bhigona hai
gham ho ki khushi donon kuch der ke sathi hain
phir rasta hi rasta hai hansana hai na rona hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



No comments:

Post a Comment