Sunday, January 7, 2007

Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs



Bana Gulab Tu Kaantay Chubha Gaya Aik Shakhs
Howa Charagh Tu Gher Hi Jala Gaya Aik Shakhs


Tamaam Rang Meray Aur Saaray Khwab Meray
Fasana Thay Ya Fasana Bana Gaya Aik Shakhs


Main Kis Hawa Main Uron Kis Faza Main Lehra’on
Dukhon K Jaal Her So Bicha Gaya Aik Shakhs


Palat Sekon Na Hi Aagay Berh Sekon Jis Per
Mujhay Yeh Konsay Raastay Per Laga Gaya Aik Shakhs


Muhabbatain Bhi Ajab Uski Nafratain Bhi Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Main Sama Gaya Aik Shakhs


Muhabbatoon Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Usay
Milay Woh Zakhm K Phir Yaad Aa Gaya Aik Shakhs


Woh Maahtaab Tha Marham Badast Aaya Tha
Mager Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Aik Shakhs


Khula Yeh Raaz K Aayeena Khana Hai Dunya
Aur Is Main Mujh Ko Tamashaa Bana Gaya Aik Shakhs



No comments:

Post a Comment