kya khabar thi ke main is darja badal jaunga
tujh ko kho dunga tere gham se sambhal jaunga
ajanabi ban ke milunga main tujhe mahafil mein
tu ne chedi bhi to main baat badal jaunga
dhundh paye na jahan yaad bhi teri mujh ko
aise jangal mein kisi roz nikal jaunga
zid mein aaye hue masum se bache ke tarah
khud hi kashti ko dubone pe machal jaunga
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Farhat Shahzad
No comments:
Post a Comment