Wednesday, December 28, 2011

Aankhon ki shayari



Hum jo aasmaan hotey
Un ko mah ro kartey
Un udaas aankhon ko roshni se bhar detey
Kuch nami ko kam kartey
Kuch khoshi se bhar detey
Hum jo aasman hotey
Un fasurda palkoon ki
Beqarar larzish ko ?..
man pasand chehrey ki simt munjamid kartey
ye agr na kar patey
tab ussey khuda kartey
tab ussey sanam kartey?..
us ko murtakiz kar k
khod ko chaar soo kartey
apni sans kam kar k
us ko daan kar detey
un haseen palkoon k
uthtey jhuktey rehney mein
dharkanoon ko gum kartey..
ye bhi gar na kar patey
phir bhi kuch to hum kartey
un udaas aankhon ki wehshatoon se kehdena ..!!!




Woh Toh Paani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye,
Aansu Toh Woh Hai Jo Tadap K Ankho Me Hi Reh Jaye,
Woh Pyar Kya Jo Lafzo Me Bayan Ho?
Pyar Toh Woh Hai Jo Aakhon Me Nazar Aaye…




Har phool ko raat ki raani nahi kehte,
Har kisi se dil ki kahani nahi kehte,
Meri ankhon me nami se samajh  jaana,
Deewane har bat zabani nahi kehte.


Share with us more Aankhon ki shayari .in comments section below.



No comments:

Post a Comment