Sunday, December 18, 2011

Kahane ke baat ho to use kah sunayiye – Altaf Hussain Hali



Kahane ke baat ho to use kah sunayiye
jo dil pe ban rahi ho, kyon kar dikhayiye
duniya ke ho havas to dil-o-din ganvayiye
yan khoyiye bahut-sa to kuch ja ke payiye
ye kya ki dil hai dair mein aur ka’abe mein maqam
ho rahiye bas waheen ke, jahan dil lagayiye
gar jan ka zarar hai mohabbat mein naseho
hum jan hi se baithe hain bezar jayiye
aur aitabar khote hi apna raha-saha
bas aa gaya yaqin hamen, qasamen na khayiye
hoti hujum-e-gam mein hai, kyon zeher ke talash
‘hali’ batayen aap ko, gar kuch khilayiye



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Altaf Hussain Hali



No comments:

Post a Comment