Monday, December 12, 2011

Faqirana aaye sada kar chale



faqirana aaye sada kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jine ko kahate the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale
koi na-ummidana karte nigah
so tum hum se muh bhi chipa kar chale
bahot aarzoo thi gali ki teri
so yan se lahu mein naha kar chale
dikhai diye yun ki bekhud kiya
hamen aap se bhi juda kar chale
jabin sajada karte hi karte gai
haq-e-bandagi hum ada kar chale
parastish ki yan tain ki ayei but tujhe
nazar mein sabon ki khuda kar chale
gai umr dar band-e-fikr-e-gazal
so is fan ko aisas bada kar chale
kahen kya jo puche koi hum se “meer”
jahan mein tum aaye the, kya kar chale


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment