Roman Urdu
Mujhe Bhi Aaine Jesa Kamal Hasil Hai,
Mein Tootta Hun To Phir Be Shumaar Hota Hun..
Urdu
مجھے بھی آئنے جیسا کمال حاصل ہے
میں ٹوٹتا ہوا تو پھر بے شمار ہوتا ہوں
Mujhe Bhi Aaine Jesa Kamal Hasil Hai,
Mein Tootta Hun To Phir Be Shumaar Hota Hun..
مجھے بھی آئنے جیسا کمال حاصل ہے
میں ٹوٹتا ہوا تو پھر بے شمار ہوتا ہوں
Tumhen kya farq parta ha…
Main tumse roth jaon to
Tumhare pass na aun to
Phir door ja kar mai
Kabhi wapis na aun to,,TUmhari yaad main gum sum Kabhi ansu bhahaun to,,
Tumhen kya farq parta ha…
Tumhari yaad main aksar Khud ko bhool jaoon to
Main teri deed main tanha
Kabhi khud ko mitaon to
Main tumse door reh kar
phir Akele mar bhi jaoon to
Tumhen kya farq parta ha…………..
Tere dar pe wo aa hi jate hain
jin ko pine ke aas ho saqi
aj itni pila de aankhon se
khatm rindon ke pyas ho saqi
halqa halqa surur hai saqi
baat koi zarur hai saqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saqi
teri aankhon ko kar diya sajada
mera pahala qusur hai saqi
tere rukh pe ye pareshan zulfen
ik andhere mein nur hai saqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saqi
pine valon ko bhi nahi malum
maikada kitni dur hai saqi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Abdul Hameed Adam
“Logon ke khouf sy haq bat kehnay se na ruko.
Q k na to koe mout ko qareb ker saktha hai or
na koe rizq ko dour kr skta hai “.
HAZART ALI (R.A)
In USA, Edisons birthday is celebrated every year by power cut of 2 minutes.
In India, we celebrate it daily for 4-6 hours due to over respect!
Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi
God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi
Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi
Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi
Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley
Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai
Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray
Kitni sham’ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se
Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?
Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai
Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin
Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .
Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!
aadmi aadmi ko kya dega
jo bhi dega vahi khuda dega
mera qatil hi mera munsib hai
kya mere haq mein faisala dega
zindagi ko qarib se dekho
isaka chehara tumhen rula dega
hamase pucho dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega
ishq ka zahar pi liya “fakir”
ab masiha bhi kya dava dega
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Sudarshan Faakir
A Banker confused About Maths asks his lady Secretary:
“If i give U 3million deducting 17% how much wud u take off?
Secrtary:”Every thing SIR, even my shoes”
Insan Zindagi Me Sirf Ek Baar
Mohabbat Karta Hai Aur Baki Mohabbatein
Pehli Mohabbat Ko Bhulane Ke Liya Karta Hai
Four candles were talking to each other
1st-“I am PEACE, no one needs me” & it went off..
2nd-“I am FAITH, nobody believes in me” & it went off..
3rd-“I am LOVE, nobody cares for me” & it went off..
4th-“I can light the other three because I am HOPE & I last forever!”
Life is tough but let’s never lose hope.
I wish that your candle of HOPE lights all your other candles and keep them glowing.
Stay Blessed
Relationship Requires little Effort
Even WhEn FriEnds Are BusY with theIr oWn LivEs
A Simple SMS reminds Each other That you are not forgotten EVer………..
Jab”MAA”Apni “AULAD”k Liye “DUA”krti Hai To “ZAMEEN”Or “AASMAN”k Darmyan k Sare “PARDY”Uth Jate Hain
Or”ALLAH”Wo “DUA”khud Sunta Hy “SUBHANALLAH” *Meri MAA k Liye Dua kren,k ALLAH Unko Sahat Or Tandrusti De,Aur Unka Saya Qayam Rakhe. Ameen
Aap B is Msg ko Send kren, Apni Maa ki Dua k Liye…
Sab Dost Bewafa Ho Gaye,
Hum Apne Mobile Se Khafa Ho Gaye,
SMS Isliye Kar Rahe Hai Zalimo,
Kahi Tum Ye Na Samjho Ki Hum Dunia Se Dafa Ho Gaye.
Kaanto ke badle phool kya doge
Aansoon ke badle khushi kya doge
Hum chahate aap se umar bhar ka saath
Hamare iss sawal ka jawab kya doge
Share with us more Sms hindi sawal jawab in Comments Section below.
Unhone To Hume Kuchh Palon Mein Hi Bhula Diya,
Jinko Hum Apni Zindgi Mein Kabhi Bhula Nahi Sakte,
Jinki Khushiyo Ke Liye Humne Maangi Thi Dua Rab Se,
Aaj Unpe Hi Hum Apani Mohbbat Kyu Jataa Nahi Sakte.
Share with us more Sayri on unhone hume bhula diya in Comments Section below.
Someone will always be prettier. Someone will always be smarter. Someone s house will be bigger. Someone will drive a better car. Someone will earn more. Someone will travel more. Just let it go. Take care of yourself. Love yourself and your circumstances. The prettiest, slimmest woman in the world may have sadness in her heart. The most highly favored woman in your office may not be able to have children. The richest woman you know may have the car, the house, and the clothes – but might be very lonely. So, love yourself. Love who you are right now. Tell yourself “I am too blessed to be stressed.” Be well. Be happy. Be blessed. Send this to all of the wonderful strong women you know..
Mohabbat Ka Khumaar Utraa To Tab Saabit Hua
Jisay Manzil Samajhe They Wo Be-Maqsad Safar Niklaa
A foreigner: wy do indian married women have red dot on their forehead?
Indian husband: It means they are recording everything.
There are only two people who can tell you true about yourself…
A Friend who is angry with u & an Enemy who starts liking you.
Ek Pasheman Si Hasrat Se Mujhe Sochta Hai
Ab Wohi Shahar Mohabbat Se Mujhe Sochta Hai
Mein To Mehdood Se Lamhoo Me Mii Thi Os Ko
Phir Bhi Wo Kitni Wizahat Se Mujhe Sochta Hai
Jis Ne Socha Hi Na Tha Hijzar Ka Mumkin Hona
Dukh Mein Dobi Howi Hairat Se Mujhe Sochta Hai
Garcha Ab Tark-E-Marasim Ko Bohat Dair Howi
Ab Bhi Wo Meri Ijazat Se Mujhe Sochta Hai
Kitne Kush Feham Hai Wo Sakhs Ke Har Mausam Mein
Ek Naye Rukh,Naye Soorat Se Mujhe Sochta Hai
Noshi Gelani
Height of Doubt
Shouhar: Mai tumhary sath 100 saal rahonga owr pyar karonga
Bewi: Usky baad kahan mun marny ka irada hai??
Ek Ek saans saza ho chuki hai,,
Mery jisam se Rooh juda ho chuki thi,,
wo Tab maang Raha Tha mujse Apni Wafaon ka sila,,,
Jab zindagi hi bewafa ho chuki thi,,
Khuda Ki Khaas Rehmat Hai
Buurgoun Ki Bashaarat Hai
Qayee Nasloun Ki Qurbaani
Qaye Nasloun Ki Mehnat Hai
Asaasa Hai Jiyaaloun Ka
Shaheedoun Ki Amaanat Hai
Jab Hee Tareekh Ne Rakha Hai
Is Ka Naam Pakistan
Pakistan Pakistan
Mera Peghaam Pakistan
Andheroun Ko Mitaaye Ga
Ujaala Ban K Chaaye Ga
Yeh Qissa Inqilaabi Hai
Naye Duniya Banaye Ga
Agar Allah Ne Chaaha To
Zamana Woh Bhi Aye Ga
Jahan Tak Waqt Jaaye Ga
Isey Aagey Hee Paaye Ga
Nida Qaayed Ki Hai
Iqbaal Ka Inaam Pakistan
Pakistan Pakistan
Mera Peghaam Pakistan
Chori chori ye
aana jana
chor do
chupke chupke
yun nazrain
milana chor do
kisi din
bohat pito gy
sab se tum
ye mehfil-e-milad se chapal churana chordo.
Rukh_e_doran k khad_o_khal guzr jaty hain
Halaat jesy b hon ba hr haal guzr jaty hain
pehly pehly to katta nhe ik lamha b judai ka phir
Lamha lamha kai saal guzr jaty hain jaan pe bhaari hua ha
faqt azab_e_tnhai yun to hr roz kai wbaal guzr jaty hain
Naqsh mittay nhe soch k dairoon se kbi tery khyalon se hm be_khyal guzr jaty hain
kon pathar sey musalsal tkraey gham bhi ho kr nidhal guzr jaty hain!.
Wo ishq jo hum se ruth gaya ab us ka hal batayen kya
koi mehar nahi koi qahar nahi phir sacha sher sunayen kya
ik hijr jo hum ko lahak hai ta der use doharayen kya
wo zeher jo dil mein utar liya phir us ke naz uthayen kya
ik aag gam-e-tanhai ke jo sare badan mein phail gai
jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachayen kya
hum nagmasara kuch ghazlon ke hum suratgar kuch khwabon ke
bejazba-e-shauq sunayen kya koi khwab na ho to batayen kya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Athar Nafees
Never try to examine your love relations
because they are like diamonds
when you hit them they do not break
but may slip away from your life.
kya kahun tum se main ke kya hai ishq
jan ka rog hai, bala hai ishq
ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq
ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq
ishq hai tarz-o-taur ishq ke tain
kaheen banda kaheen khuda hai ishq
kon maqsad ko ishq bin pahuncha
aarzoo ishq va mudda hai ishq
koyi khvahan nahi mohabbat ka
tu kahe jins-e-narawa hai ishq
meerji zard hote jate hain
kya kaheen tum ne bhi kiya hai ishq?
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Meer
har ek ruh mein ek gham chupa lage hai mujhe
ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe
jo aansu mein kabhi raat bhig jati hai
bahut qarib wo aavaz-e-pa lage hai mujhe
main so bhi jaun to meri band aankhon mein
tamam raat koi jhankata lage hai mujhe
main jab bhi us ke khayalon mein kho sa jata hun
wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe
main sochata tha ki lautunga ajanabi ke tarah
ye mera gaon to pahachana sa lage hai mujhe
bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka vajud
har ek fard koi saneha lage hai mujhe
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nissar Akhtar
GIRLS,GIRLS,
V R PEARLS,
boys think that girls R lazy,
but actually they R the one,
who R LAZY & CRAZY!
they think they R the HEROES,
but actually they R the ZEROS!
GIRLS R always the FIRST,
& boys R the WORST!
boys have no MIND,
& were not at all KIND!
they always think about CARS,
I think they R from MARS!
they say GIRLS always CRY,
actually there own minds R DRY!
GIRLS always get better marks in a test,
because GIRLS R really the BEST
Girl Friend: Ne Boy Friend Ko Letter Likha
Mujhe Naya Larka Mil Gaya Hai,
Meri Photo Mujhe Wapas Do
Usko Dikhana Hai,
Wo Tumse Bahut Acha Hai Main Us’se Shadi Karungi…
Boy Friend Ne Apne Sab Friends Ki Girl Friends Ki Photos Collect Ki,
Or Unke Bech Mein Apni Girl Friend Ki Photo Rakh K Letter Likha,
Is Mein Se Apni Photo Nikal Le,
Mujhe Teri Shaqal Yaad Nahi Hai… 😀
Hi Moon!!! Dim Ur light…
Hello Wind!!! Breeze Soft…
Hi Flower!!! Blossom Slowly.
Hello Earth!!! Spin Gently….’
Coz My sweet friend is going to sleep….Good Night…..
Every morning you have two choices….
Continue your sleep with your dreams…
Or
wake up and chase your dreams….
The choice is yours!
*GOOD MORNING*
Faraz Was Driving Heavy Bike Achanak Larkian Samny A Gaen To Arz Kia
Ankhon Me Rakhta Hoon Me Apki Yadon K Deep
Hat Jao Kurio
Peep
Peep
Peep
Peep.
Phir aaj haq k liye jaan fida
kare koi
Wafa b jhoom uthay yun
wafa kare koi.
Namaz 1400 salon se
intezaar mein hay
K mujhe “HUSSAIN A.S” ki tarha
adaa kare koi.
Friends Smile At You.
They Like Your Face.
They Want To Be With You
Any Old Place.
Friends Have Fun With You.
Friends Share
They’re Glad When You’re Happy—
When You’re Sad, They Care.
If You’re A Friend
Then You Care, Too.
That’s Why Your Friends
Are Glad You’re You!!!
Safar per sath chala tha jo rehbroun ki tarha
Juda howa wo bhi aakhir musafiroun ki tarha
Main sochta houn wo kaisay bichar giya mujh se
Jo dhoop main milta tha mujhay badaloun ki tarha
Ajeeb shakhs tha hawaoun se dushmani le kar
Wo rait per likhta tha mujhay pagaloun ki tarha
From: Shabi_Rana (0333-9781720)
Tu Hawa K Hath Pe Chahtoun Ka Dia Jalany Ki Zid Na Kr..,
Ye Udas Logo Ka Shehr Hy Yaha Muskrany Ki Zid Na Kr..,
Me Hon apno Ka Dassa Hua, Mera Gham Hy Had Se Barha Huwa..,
Me Shiksta Ghar Ki Misal Hon Mere Pas Aany Ki Zid Na Kr..,
Me Teri Ghazal To Ni Hon Na Jo Hr 1 Lab Pe Saja Rahon..,
Me To 1 Misra-e-Dard Hon Mujhy Gungnany Ki Zid Na Kr..,
Abi Lout ja,Abi Waqt Hy Abi Jan Baqi Hy Jism Me..,
Tujhy Eilm Hy Mein kuch Nhe, Mujhy Aazmany Ki Zid Na Kr!
Jab insan har kisi se chup k gunah karta hai, to ALLAH farmata hai,
“Aay Ibn-e-Adam..Tujhe tamam rishton main sab se ziada mai hi haqeer nazar aaya k sab k dar se chup k gunah karna gwara kia, sirf MUJH (ALLAH) Se chupana gawara na kia
(Hadees-E-Qudsi)
Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai
Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai
Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere ru – ba – ru kehna mujhe tum se Mohabbat hai
EK punjabi bank lootne gaya wahan gun dikha ker sara paisa loot liya
Per us ke hath kch ni aaya
kyon?
Q k sare paise usne manager ko diye aur kaha
Sare paise mere account mein jama kar do
Rishto ki khubsorti aik dosry ki bat ko bardasht karne mein hai
Be aib insan talash karo gay to tanha reh jao gay.
This is the day,
That Our nation sings
This is the day
That the liberty bell starts to ring
This is the day
We all start to remember
What We stand for
and to celebrate our Independence
We stand up high, as We
All start to cry
As we think about,
All that died
For you, for me, for our whole country
Risking there life
Each and everyday here is a salute
To all that lay …
Happy Independence Day
mere sang-e-mazar par farahad
rakh ke tesha kahe hai ‘ya ustad’
hum se bin marg kya juda ho malal
jan ke sath hai dil-e-nashad
fikr-e-tamir mein na reh munim
zindagi ke kuch bhi hai buniyad
khak bhi sar pe dalane ko nahi
kis kharabe mein hum huye aabad
sunate ho tuk suno ki phir mujh bad
na sunoge ye nala-o-fariyad
har taraf hain asir ham-avaz
bag hai ghar tera to ae sayyad
hum ko marana ye hai ke kab hove
apni qaid-e-hayat se aazad
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
Tera khayal dil se mitaya nahi abhi
bedard main ne tujh ko bhulaya nahi abhi
kal tune muskura ke jalaya tha khud jise
sine aa wo charag bujhaya nahi abhi
gardan ko aj bhi tere bahon ke yaad hai
chaukhat se teri sar ko uthaya nahi abhi
behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya
main badanasib hosh mein aaya nahi abhi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi
Dur se dur talak ek bhi darakht na tha
tumhare ghar ka safar is qadar to sakht na tha
itane masaruf the hum jane ke taiyari mein
khade them tum aur tumhen dekhane ka waqt ka tha
main jis ke khoj mein khud kho gaya tha mele mein
kaheen wo mera hi ehasas to kambakht na tha
jo zulm sah ke bhi chup rah gaya na khaul utha
wo aur kuch ho magar aadmi ka rakt na tha
unhin faqiron ne itihas banaya hai yahan
jin pe itihas ko likhane ke liye waqt na tha
sharab kar ke piya us ne zeher jivan bhar
hamare shahar mein ‘neeraj’-sa koi mast na tha
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Gopaldas Neeraj
Ramadan Ka Chand Daikha,
Rozay Ki Dua Mangi,
Roshan Sitara Daikha,
Aap Ki Khairiat Ki Dua Mangi,
May Almight Allah Bless You With His
Blessing In The Holy Month Of Ramadan
In the name of Allah, the most Merciful, the most Kind
A blessed month is casting its shadow upon us
A night of this month is better than a thousand months
Bear with patience for the sake of Ar-Rahman
Its a continuous training to strengthen our Imaan
1. MILA WO BHI NAHI KARTE,
MILA HAM BHI NAHI KARTE,
DAGA WO BHI NAHI KARTE,
DAGA HAM BHI NAHI KARTE,
UNHE RUSWAI KA DUKH – HAME TANHAI KA DAR,
GILA WO BHI NAHI KARTE,
SAIKWA HAM BHI NAHI KARTE,
KISI MOD PAR MULAKAT HO JATI HAI AKSAR,
RUKA WO BHI NAHI KARTE,
THAHRA HAM BHI NAHI KARTE,
JAB BHI DEKHTE HAI UNHE SOCHTE HAI KUCH KAHE UNSE,
SUNA WO BHI NAHI KARTE,
KAHA HAM BHI NAHI KARTE,
LEKIN YE BHI SACH HAI KE MUHABAT UNHE BAHI HAI HAMSE,
IKRAR WO BHI NAHI KARTE ,
IJHAR HAM BHI NAHI KARTE……
CHHAGAN JOSHI — +91 99294-50313
Some people think that to be strong is to never feel pain
In reality the strongest people
are the ones who feel it, understand it and accept it
Allah ne Aasmano aur zamen ko hikmat ke sath paida kya hai,
kuch shak nahi ke eman walon ke liye iss me bari nishani hai…
(Ankaboot,Ayat#44)
Life has 5 Stars.
Kind Star is
MOTHER
Nice Star is
FATHER
Soft Star is
SISTER
Lovely Star is
BROTHER
&
The Super Star is
*FRIEND*
Qadar kro MRI zalimo…
Ab Mujh ko Ilzaam Na Do Bewafai Ka…..!!!
Meray Hathon Ki Lakeeron Mein Wafa Aam Thi..
Ay Khuda is dunya mein Ek or kamal kar..
Ya ishQ ko aasan kar Ya Khudkushi Halaal kar…
How can you know how much you mean to me?
After all the heartache, there is love.
Pierce life, and you are where the angels move,
Praising with their joy the mystery.
You know well the cost of sacrifice,
Mothering the wounded as you bleed,
Opening your anguish to their need,
Taking heed of neither pain nor price.
How you have paid, dear soul, for that abandon!
Even as you’ve sunk into despair.
Reason has no reason to be there
‘Ere love supply the grace, well-earned or wanton.
So let me show you how you look from here,
Depicted as an icon dearly treasured,
An image of an ecstasy unmeasured,
Yearning with more need than it can bear.
maa tujhse hi mamta ka aanchal hai,
maa tu hi sabki kamna hai,
maa mandir ki murat hai,
maa sabki surat hai,
maa tu hi barhma vishnu or mahesh hai,
maa tu laxmi hai,
maa tu sarswati hai,
maa tu hi durga hai,
maa tujjhme hi sare sansar hai,
maa tu mandir ki aarti hai,
maa tu hi maszid ki aajan hai,
maa tujh se hi jeewan hai,
maa tu hi deti sabko jaan hai,
************
maa bahut rota hai ye dil par hoti nahi kabhi aankhe nam,
jaise basant ke bina bhawro ka mosam nahi hota,
lekin rahul indian dusmano me bhi mehfuz rahta hai,
kyoki meri maa ki duwao ka khazana kabhi kam nahi hota hai,
meri maa ko is nadan ka sat sat naman..
happy dasehara
No Matter Whether Boys are driving
Ferrari,
BMW,
Accord,
OR
Corolla.
They are not able to Overtake a
.
.
GIRLS COLLEGE VAN…
Dil hai hire ke kani jism gulabon vala
mera mahbub hai darasl kitabon vala
husn hai rang hai shokhi hai ada hai us mein
ek hi jam magar kitni sharabon vala
yar aaina hua karte hain yaron ke liye
tera chehara to abhi tak hai naqabon vala
mujh se hogi nahi duniya ye tijarat dil ke
main karun kya ke mera zahan hai khwabon vala
tu rahega na tere zulm rahenge baqi
din to aana hai kisi roz hisabon vala
husn-e-bebak se ho jati hain aankhen roshan
dil mein utara hai magar rup hijabon vala
jo nazar aata hai hasil nahi hota ‘manzar’
zindagani ka safar bhi hai sarabon vala
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Manzar Bhopali
Aaj Dil Dukha Hai, Tum Yaad Aaye
Gham Jaan Lubh Hai, Aapne Kahaan Dhoond Paaye
Jaage Hain, Soye Nahi
Aisi Hai Meri Yeh Bechaini
Din Bhi Wohi, Raatein Wohi
Saanson Mein Saansein Hain Nahi
Hmmm… Hmmm… Hmmm.
Shaamein Ab Dhalti Nahi
Aanchal Joh Tera Simaat Jaaye
Aap Yahaan Hamesha Raahein
Doori Rahe Na Ho Faasile
Hmmm… Hmmm… Hmmm…
Hmmm… Hmmm… Hmmm…
Jaage Hain Soye Nahi
Aisi Hai Meri Yeh Bechaini
Din Bhi Wohi, Raatein Wohi
Saanson Mein Saansein Hai Nahi
Hmm… Ahh…. Hmm… Ahh… Hmm… Ahh…
Hmm… Ahh…. Hmm… Ahh… Hmm… Ahh…
Ooo Hoo… Ooo Hoo.. Ooo Hoo…
Ooo Hoo… Ooo Hoo.. Ooo Hoo…
Rab Aagr Tum Mile Toh
Vit Na Yeh Ki Hai
Haas Deinge Hum Toh
Rona Nahi Hai
I remember the 80s being about the Cold War and
Reagan and the homeless problem and AIDS.
To me, it was kind of a dark, depressing time.
“GHAZAL”
Yeh zehmat bhe to rafta rafta rehmat ho he jati hai,,,
musalsal gham sy gham sehny ke aadit ho he jati hai,,,
masheha ho agr tum sa to zarorat kia hai marham ke,,,
k kanton sy bhe zakhm sheny ke aadit ho he jati hai,,,
talu’q jin sy ho un per gily aaya he krty hain,,,
mohhabat jin sy ho un sy shikayat ho he jati hai,,,
zarori tu nhe sooraj sawa neazy py aa jaey,,,
badal jy koi apna tu qeyamat ho he jati hai,,,
And remember with gratitiude
Allah favor on you;
for you were enemises and
He joined your hearts in love so
that by His grace you became
brethren and you were on the brink of the
pit of fire and He saved you from it.
Maine Seekhe Hain Mohabbat Se Mohabbat Ke Asool
Sabse Mushkil Hai Kisi Apne Ko Apna Rakhna.
Irshad e Nabwi S.A.W.W.
‘qiamat k din meray sb se qareeb wo ho ga jo mujh pe sab se zaida drood bhejay ga’.
Allah ham sb ko Hazoor ka sath ataa fermaey jannat me. Aamin.
Chupa Raha Hai Kisi Karb Ko, Kisi Gham Ko
Jo Hans Raha Hai Musalsal, Wo Shakhs Jhoota Hai
1 Panjabi k Ghar main 2 Bachy Jurrwan Paida huway,
To Dadi boli,LO DSSO,
Hun tay Pakistan day Halaat vaikh k Bachy vi Kally Aan tou Dr day nay.:-)
Na Tujhko Khabar Hui Na Zamana Samajh Saka..!!
Hum Chupke Chupke Tujh Par Kayi Baar Mar Gaye…!!
Ramadan Recipe
A Glass Of Care
A Plate Of Love
A Spoon Of Peace
A Fork Of Truth and
A Bowl Of Duas.
Mix With Spices Of Quraan.
Enjoy This Meal.
Ramadan Mubarak
Shakspare said:
“I remember him not as the one who broke my heart
But I remember him as the one who taught me how to live with a broken heart.”
¤~>TÉ@R§
Ek Aadmi Apne Dost ke ghar
gaya, Bell
bajai
“Ding dong.. ting tong”
Ek Bachcha bahar aaya
Aadmi: Beta Papa ghar pe
hain ?
Bachcha: uncle Papa toh
Bazar gaye
hain..
Aadmi: Chalo Bade Bhai ko
bula do
Bachcha: ji woh cricket
khelne gaya
hai
Aadmi: Beta mummy toh
hongi ghar
pe ?
Bachcha: Ji woh kitty party
mein gai
hai
Admi gusse me: Toh Beta
tum ghar pe
kyun baithe hue ho tum bhi
kahin
chale jao :/
Bachcha: ji main bhi toh
apne Dost ke
Ghar aaya huya hun :
LIFE MEANS
6 frnds,
2 bikes but no petrol
exam nite,6 duffers no notes.
sitting on sea view ,
6 smokers n only 1 cigrete!
1 girl,6 frnds n all saying: teri bhabhi hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai
Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai
Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai
Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai
Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai
Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai
Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai
Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai
Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua
Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai
Agr tum us waqt muskura skty ho jb tum poori terha se toot chuky hoty ho,
.
.
..
.
.
To yaqeen jano tawady to wadi film koi nai..:-D
written by me…..
waqif to tum bhi ho,waqif to hum bhi hain,
chal ra hai ye daur jo afaton ka daur hai……
afaton ke daur me bas akela tu hi nahi,
mudkar dek jra
pura jahan hi sarabor hai…..
ye afaton ka daur hai ye afaton ka daur hai………..janarden(jd)
if anyone like plz revert me on jdcool90@gmail.com as i want to do it as professional…..i have wite so many things……contact no is 9871800108
Report of “Pakistan Water Council” states
that India will complete 40 dams on river Jhelum & Chenab. Out of which 4 large dams & 16 small have become operational. India is building world’s 3rd largest dam KARGIL on river Sindh. Also a water tunnel is now working & taking 45% water of river Sindh. India has completed disputed BAGLIHAR dam on river Chenab & it is working. India has decided 2 make Pakistan A Desert & its nation on the knees without firing a single bullet by 2015. This is WATER WAR. Y v & our Goverment r sleeping. Use ur sms packages for NOBLE PURPOSE. Play ur role 2 Save Pakistan..
Dard-e-dil pas-e-vafa jazba-e-iman hona
aadamiyat yahi hai aur yahi insan hoa
nau-giraftar-e-bala tarz-e-fugan kya janen
koi nashad sikha de inhen nalan hona
rah ki duniya mein yun tark-e-havas ki koshish
jis tarah apne hi saye se gurezan hona
zindagi kya hai anasir mein zahur-e-tartib
maut kya hai inhin ijza ka pareshan hona
dil asiri mein bhi aazad hai aazadon ka
valvalon ki liye mumkin nahi zinda hona
gul ko pamal na kar lal-o-gauhar ki malik
hai ise turah-e-dastar-e-gariban hona
[gul=flower; pamal=downtrodden; lal=
hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se badhakar
nang hai mere liye chak gareban hona
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Brij Narain Chakbas
mujh se pahali si mohabbat meri mahbub na mang
main ne samajha tha ki tu hai to darakhshan hai hayat
tera gham hai to gam-e-dahar ka jhagada kya hai
teri surat se hai aalam mein baharon ko sabat
teri aankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai (*)
tu jo mil jaye to taqadir nigun ho jaye
yun na tha main ne faqat chaha tha yun ho jaye
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva
rahaten aur bhi hain vasl ke rahat ke siva
mujh se pahali si mohabbat meri mahbub na mang
anaginat sadiyon ke tarik bahimana talism
resham-o-atalas-o-kamkhvab mein bunavaye huye
ja-ba-ja bikate huye kucha-o-bazar mein jism
khak mein lithade huye khoon mein nahalaye huye
jism nikle huye amaraz ke tannuron se
pip bahati hui galate huye nasuron se
laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kije
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva
rahaten aur bhi hain vasl ke rahat ke siva
mujh se pahali si mohabbat meri mahbub na mang
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz
Finally, I told my parents that
I want a Blackberry or An Apple
My Mother said:
.
.
.
.
.
.
.
Ghar mein kharbuje pade hai, pehle woh kha
Tary Ikhlas S Mohabbat Ke Hay
Tary Ihsas Se Mohabbat Ke Hay
To Mere Paas Nahi Phir Be
Tere Yad S Mohabat Ki Hay
Mai Tum Ko Kiss Tarha Bhol Sakta Hoon
Main Ne Tere Osaf Se Mohabbat Ki Hay
Kabi To Ne Be Muje Yad Kia Ho Ga
Mai Ne In Lamhat Se Mohabbat Ke Hay
Jin Main ho Sirf Teri Aur Meri Batain?
Main Ne In Auqat Se Mohabbat Ke Hay
Teri Har Adaaon Ko Dekhta
Tujhe Apne Mein Sametta
Tujhe Har Pal Yun Dekhta
Kaash May Ek Darpan Hota
Tu Mere Saamne Naha Kar Aati
Mere Kareeb Baith Kar Sawarti
Tere Har Shringar Ko May Dekhta
Kaash May Ek Darpan Hota
Tu Mujhko Bina Sharma Ke Dekhti
Mere Saamne Baith Kar Baaten Karti
Main Tumhe Bas Yun Nihaarta Rehta
Kaash May Ek Darpan Hota
Jis Din Suraj Ki Pehli Kiran Utri Thi Zameen Par
Us Din Se E Jaane Tammanna Main Tujhse Mohabbat Karta Hoon
Tera Pyar Nahi Koi Baat Nahi
Mera Pyar Tha Sadiyon Pehle Bhi
Jo Tujhse Kiya Hai Aaj Wahi Ikraar Tha Sadiyon Pehle Bhi Wahi
Main Arsh Ka Rehne Wala Tha
Ab Is Duniya Main Aabaad Hoon Main
Jannat Se Jo Nikala Tere Liye Us Aadam Kia Aulaad Hooon Main
Do Dil Jab Do Insaano Ke Dhadke The Is Zamman Par
Us Din Se E Jaane Tammanna
Main Tujhse Mohabbat Karta Hoo
Ye Duniya Jab Tak Baaki Hai
Main Saath Na Tera Chadoonga
Teri Aanchal Ke Ek Kone Se
Rukh Toofano Ke Modoonga
Jab Se Ye Wafa Ki Rasm Chali
Us Din Se Ee Jaane Tammanna
Main Tujhse Mohabbat Karta Hooon
Muskura Ke Saare Shikve Duur Kar Ke Chali Gayi,
Who Hume Hassne Ki Liye Majbuur Kar Ke Chali Gayi,
Bus Gayi Woh Dil Humare Chup Chaap Hee,
Humne Sarejug Mein Mashurr Karke Chali Gayi
Jis Ke Sahare Dehkha Karter Hum Unhe Baar Baar
Humare Dil Ka Sheesah Chhakna Chur Kar Ke Chali Gayi
Khud Hi Chumma Tan Ko Jaise Saaz Koi Surr Hi Ho
Honth Humare Is Tarah Masrurr Kar Ke Chali Gayi
Dheere Dheere Ho Gayi Who Humare Itne Kareeb Ke
Humne Aapne Aap Se Hi Durr Kar Ke Chali Gayi
Muskan Thi Hi Unki Itni Khushbudar Ki Unse
Kaagzi Phoolon Ko Bhi Bharpur Kar Ke Chali Gayi
Saade Haase Te Gila Ne Yaar Karde,
Kehnde Tere Dil Ch Dise Na Dukh Koi.
Kehnde Oh Ki Jaane Paak Mahobbat Nu,
Jisdi Akh Na Kade Kise Layi Roi.
Fir Asi Keha Eh Ishke Diyan Chottan Buriyan Ne,
Eh Ishq Aap Sikhaduga.
Je Aitbar Nahi Ta Kade Mera Dil V,
Apne Zakhm Vikhaduga.
Haar Ke Is Pyaar Vich Asi,
Hasse Piche Gum Chuppai Baithe Haan.
Ik Hanju Da Tu Kare Gila,
Kise Di Judai Vich Ro-Ro Asi
Sattan Janmaan De Hanju Mukai Baithe Haan. . . .
Aye Mery Allah
Meri izat kay lie yahe kafi hy k main tera banda hoon OR
Mery fakhar kay lie yahe kafi hy k tu mera parwardegar hy
Tu waisa hy jaisa main chahta ho0n bus
Tu mujhe waisa bana dy jaisa
Tu chahta hy
GOOD MORNING
>> Ammi ne kaha Sms Chor do
=Abba ne kaha Night pkge karana chor do
=Dostun ne kaha Mobile se belns Churana chor do
=PaAro ne kaha Ganney ka Rus Peena chhor do..
=Andhay ne kaha mujhe SARAK k us paar chor do
*OR
=Ek Din aayega , Jab GIRL FRIEND ke Bachay bolengey:
=MAMU Zara School chhor Do..
Aik yahoodi
Rasool-e-Pak (S.A.W) ki mehfil mai aaya or kaha
Hmari ebadat Allah ko zyada pasand hy Q K jb hm ebadat krty hy hmein koi khayal,waswasa nhi ata jb K me ne suna hy tm log Namaz parhty ho bht sy khayalat tmhary zehn me aty hy
Ap(S.A.W) ny Hazrat Abu Bakkar(R.A) ko es yahoodi ki bat ka jwab deny ka eshara kia
Ap(R.A) ny us yahoodi ko kaha
2 makan hy 1 khali hy dosra makan Heero sy bhara hy,ab batao chor kis makan me jaey ga
Yahoodi bola dosry makan mai.
Ap ny Muskara kr jawab dia ye hal kafir or Musulman K dil ka hy.Jis ka dil pehly hi eman sy khali ho wahan shetan kya lenay aayga. Subhanallah
Koi Aisa Pal Bhi Hua Kare
Main Kahon To Bus Woh Suna Kare
Meri Fursatein Mere Mashgale
Subhi Apne Naam Likha Kare
Koi Bat Ho Kisi Shaam Ki
Koi Zikaar Hoo Kisi Rat Ka
Ju Sunane Bethon Use Kbhi
Woh Sune Tu Sun Keh Hunsa Karerom
Ju Main Kahun Chaloo Us Ngr
Jahan Jugnon Kaa Hajum Ho
Wo Palat Ke Dekhe Meri Taraf
Or Mujhko Pagal Kaha Karee..!!!
Today,
in style are small cars,
watches, skirts and mobile-phones…
It will come the time when
SMALL PENIS will be in style, and
then you will be the man!!!
Dil udaas hai bahut koi paigaam he likh do
Tum apna naam na likho, gumnaam he likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin
Tamaam umer na likho magar ik shaam he likh do
Zaroori nahin ke mil jaye sakun har kisi ko
Yeh jaanta hun ke umer bhar tanha mujh ko rehna hai
Magar pal do pal, ghari do ghari,
mere naam he likh do
Aik larka larki se! I love u
larki! But i hate you
larka choro laraei ko koei aur hal nikalty hain drmiyan se 2nu.
Larki yeh nhein ho skta kyoo k drmiyan main tow diwar g.ai.
Baat chali teri baaton se aur ja pohanchi paimaane tak,
Kheench rahi hai teri ulfat aaj muje maikhane tak..
Ishq ki baaten gham ki baaten duniya wale karte hen,
kis ne shama ka dukh dekha or kon gaya parwane tak..
Piyar nahi hai tum ko mujh se sirf bahane karte ho,
yunhi bahane qayem rakhna tum mere mar jaaney tak..
Itna hi kehna hai tum se mumkin ho to aa jana,
aa jao to ruk jaana bus dil k sambhal jaanay tak…!!
Raat ko naya chand mubarak,
Chand ko chandni mubarak,
Falak ko sitare mubarak.
Sitaroon ko bulandi mubarak.
Aur aap ko hamari taraf se,
RAMADAN MUBARAK.
Deeiray Dheeray Dil Main Utarta Jata Hai Koi
Mujh Ko MAIRI JAAN Bulata Hai Koi
Main Toot Ke Bikhar Jaon, Ye Mumkin Nahi
Boht Piyar Se Sath Apne Mujhe Sulata Hai Koi
jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab mein
shauq-e-savab ne mujhe dala azab mein
kahate hain tum ko hosh nahi iztarab mein
sare gile tamam hue ek javab mein
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surkh se
dil ko gazab fishar hua pech-o-tab mein
rehte hain jama kucha-e-janan mein khas-o-am
aabad ek ghar hai jahan-e-kharab mein
badanam mere giriya-e-rusava se ho chuke
ab uzr kya raha nigah-e-behijab mein
matalab ke justaju ne ye kya hal kar diya
hasrat bhi nahi dil-e-nakamayab mein
nakamiyon se kam raha umr bhar hamen
piri mein yas hai jo havas thi shabab mein
kya jalve yaad aaye ke apni khabar nahi
be-bada mast hun main shab-e-mahatab mein
paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-vida
“momin” khuda ko bhool gaye iztarab mein
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Momin Khan Momin
Nikle Hai Veer Jiya Liye Yun Apna Seena Taane
Has Has Ke Jaan Loota Ne Azad Savera Laane
Marke Kaise Jeete Hai Is Duniya Ko Batlana
Tere Lal Chale Hai Maiye Ab Teri Laaj Bachane
Marke Kaise Jeete Hai Is Duniya Ko Batlana
Tere Lal Chale Hai Maiye Ab Teri Laaj Bachane
Azadi Ka Shola Banke Khoon Rago Mein Dola
Banen Len Jaandeo
Banen Le Ke Aandeo
Paandeo Te Pendi Nai
Laandeo Te Lendi Nai
Le Jaave Te Dooji Waari
Paan Jo Gi Rendi Nai
Banen Mai Diyan Ga !!!!
Pao Ge To Pe Jaaye
Lao Ge Te Le Jaaye
Le Jaaye Te Dooji Waari
Paan Jo Gi Reh Jaaye
Banen Meri Vadhiya
Banen Meri Top Di
Vaddian Noo Poori Aaye
Nikeyaan De Naap Di
Chhez Huve Asli
Te Moo’on Paee Boldi
Thoop Nalo Gori Lage
Rassi Utte Doldi
Jinne Varrey Chao Tussi Ais Noon Ha’ndaa Lo
Pher Paanve Bachayaan Da Jhaangia Bana Lo
Ye kya jane mein jana hai, jate ho khafa hokar
main tab janu mere dil se chale jao juda hokar
qayamat tak udegi dil se uthakar khak aankhon tak
isi raste gaya hai hasaraton ka kafila hokar
tumhin ab dard-e-dil ke naam se ghabraye jate ho
tumhin to dil mein shayad aaye the dard-e-ashiyan hokar
yun hi hamdam ghadi bhar ko mila karte to bahatar tha
ke dono waqt jaise roz milate hain juda hokar
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Seemab Akbarabadi
Side effect of studying more
A guy went to a restaurant
he wanted to see the menu
but he forgot what it is called
he asked waiter: Syllabus laana zara
Humaray Piyare NABI (S.A.W.W)
ny ALLAH se Arz ki:
“Meri Ummat ka Hisaab meray supurd kr Dijiye
ta k doosri Ummaton k Samny meri Ummat ki Ruswai na ho”
ALLAH ny Farmaya:
“ME Chahta hon k Aap ki Ummat ka Hisaab Me khud hi Karon
ta k agar Koi Laghzish ho to osko Aap se bhi Posheda rakhon.
ta k Aap ki Ummat ki Aap k Samny bhi Ruswai na ho”
‘SUBHANALLAH’
(Bukhari Muslim)
‘Page no#102’. Aik Bar Dorood sharef per kar sms zaroor karna.
!GHZAL! Chalo tum sath ,mat dena,
Mujhe beshak ,bhula dena,
,Naye sapne saja lena,
Naye rishtay bana lena,
Bhula dena sabhi waday,
Sabhi “qasmain” sabhi
Natay,
Tumhain jana!
ijazat ha,
Jo diL chahe
Woh sab karna,
Magar ab tum
kisi se bhi.
aadhora pyar mat
Karna.;