Tere dar pe wo aa hi jate hain
jin ko pine ke aas ho saqi
aj itni pila de aankhon se
khatm rindon ke pyas ho saqi
halqa halqa surur hai saqi
baat koi zarur hai saqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saqi
teri aankhon ko kar diya sajada
mera pahala qusur hai saqi
tere rukh pe ye pareshan zulfen
ik andhere mein nur hai saqi
teri aankhen kisi ko kya dengi
apna apna surur hai saqi
pine valon ko bhi nahi malum
maikada kitni dur hai saqi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Abdul Hameed Adam
No comments:
Post a Comment