mere sang-e-mazar par farahad
rakh ke tesha kahe hai ‘ya ustad’
hum se bin marg kya juda ho malal
jan ke sath hai dil-e-nashad
fikr-e-tamir mein na reh munim
zindagi ke kuch bhi hai buniyad
khak bhi sar pe dalane ko nahi
kis kharabe mein hum huye aabad
sunate ho tuk suno ki phir mujh bad
na sunoge ye nala-o-fariyad
har taraf hain asir ham-avaz
bag hai ghar tera to ae sayyad
hum ko marana ye hai ke kab hove
apni qaid-e-hayat se aazad
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
No comments:
Post a Comment