Dard-e-dil pas-e-vafa jazba-e-iman hona
aadamiyat yahi hai aur yahi insan hoa
nau-giraftar-e-bala tarz-e-fugan kya janen
koi nashad sikha de inhen nalan hona
rah ki duniya mein yun tark-e-havas ki koshish
jis tarah apne hi saye se gurezan hona
zindagi kya hai anasir mein zahur-e-tartib
maut kya hai inhin ijza ka pareshan hona
dil asiri mein bhi aazad hai aazadon ka
valvalon ki liye mumkin nahi zinda hona
gul ko pamal na kar lal-o-gauhar ki malik
hai ise turah-e-dastar-e-gariban hona
[gul=flower; pamal=downtrodden; lal=
hai mera zabt-e-junun josh-e-junun se badhakar
nang hai mere liye chak gareban hona
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Brij Narain Chakbas
No comments:
Post a Comment