Wo ishq jo hum se ruth gaya ab us ka hal batayen kya
koi mehar nahi koi qahar nahi phir sacha sher sunayen kya
ik hijr jo hum ko lahak hai ta der use doharayen kya
wo zeher jo dil mein utar liya phir us ke naz uthayen kya
ik aag gam-e-tanhai ke jo sare badan mein phail gai
jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachayen kya
hum nagmasara kuch ghazlon ke hum suratgar kuch khwabon ke
bejazba-e-shauq sunayen kya koi khwab na ho to batayen kya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Athar Nafees
No comments:
Post a Comment