Tuesday, November 22, 2011

Kya kahun tum se main ke kya hai ishq



kya kahun tum se main ke kya hai ishq
jan ka rog hai, bala hai ishq
ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq
ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq
ishq hai tarz-o-taur ishq ke tain
kaheen banda kaheen khuda hai ishq
kon maqsad ko ishq bin pahuncha
aarzoo ishq va mudda hai ishq
koyi khvahan nahi mohabbat ka
tu kahe jins-e-narawa hai ishq
meerji zard hote jate hain
kya kaheen tum ne bhi kiya hai ishq?


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Meer



No comments:

Post a Comment