mehak main sary huruf dho kar
qalam ko b ijz main dubo kar
sana-e-rab-e-jaleel likhun
taweel tar se taweel likhun…
jamal likhun jameel likhun
usi ko uski daleel likhun
kahan nahi tha kahan nahi hai
mujhy bata wo jahan nahi hai
azal se hai ta abad rahega
wo aap apni sanad rahega
Wohe to hai La-Shareek-o-Yakta Wo sub ka Khaliq Wo sub ka Aaqa
Wo sub k andar Wo sub ka bahar
Wo sub se oper Wo sub k sar par
Raheem-o-Rehman sifaat uski
Bari mukarram hai zaat Uski….. FaYaZ MeM0N
No comments:
Post a Comment