AT THE TIME OF 1940s
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai,
Dekhna Hai Zor Kitna Bazue Katil Mein Hai.
Karta Nahi Kyon Doosra Kuch Batcheet,
Dekhta Hu Main Jise Wah Chup Teri Mehfil Mein Hai.
Ai Shaheed-E-Mulkomillat Main Tere Uppar Nisar,
Ab Teri Himmat Ka Charcha Gair Ki Mehfil Mein Hai.
Waqt Ane De Bata Denge Tujhe Ai Asma,
Hum Abhi Se Kya Bataein Kya Hamare Dil Mein Hai.
Khech Kar Lai Hai Sabko Katla Hone Ki Umeed,
Ashikon Ka Aaj Jamghat Kucha-E-Katil Mein Hai.
Dekhna Hai Zor Kitna Bazue Katil Mein Hai,
Sarfaroshi Ki Tamanna Ab Hamare Dil Mein Hai
AND NOW IN 2015
Azadi Ke Suraj Ko Aaj Grahan Kyun Lag Gaya,
Yeah Gulami Ka Diya Fir Se Kyun Jag Gaya,
Aaj Bathe Hum Sabhi Ban CHUHE, Apni Bill Mein Hai,
Sarfroshi Ki Tamnna Aaj Kiske Dil Mein Hai?????????
Ek Inquilab Ke Liye Jaan Dedi Surviro Ne ,
Aaj Arjun Mar Gaya Hai Khud Apne Hi Tiro Se,
Dosti Ka Nakab Oure Kayee DUSHMAN Hamari Mehfil Mein Hai ,
Sarfroshi Ki Tamnna Aaj Kiske Dil Mein Hai????
Dekh Kar FANSI Ka Fanda Tha Jhine Bhi Kampta,
Aaj Vo Is Jahan Se Kyun Ho Gaye Hai Lapta’,
Thondta Hu Sochkar Ki Ve Bathe Meri Mehfil Mein Hai’
Sarfroshi Ki Tamnna Aaj Kiske Dil Mein Hai????
Ek Taraf Yeah Raajneta Desh Ko Hai Nochte,
Ek Taraf Hum Sabhi Bas Apne Baare Mein Sochte,
Is AZAD MULK Mein Hum Vahi Karte Hai Jo Hamare DIL Mein Ha,
Sarfroshi Ki Tamnna Aaj Kiske Dil Mein Hai????
Ghuskhori Aur CURRUPTION Sabhi Ko Milta Yahaan Ashiyaan,
Azadi Ko Hai Taraste Yeah Zameen Yeah Aasma,
DESH Ko TERI Zaroorat Desh Bada Mushkil Mein Hai,
Sarfroshi Ki Tamnna Aaj Kiske Dil Mein Hai????
Woh Kehte Hai Ki —
“Ab Bhi Jiska Khoon Nahi Khola Khon Nahi Woh Paani Hai-
Jo Desh Ke Kaam Na Aaye Woh Bekar Jawani Haiâ€
Lekin Unneh Kya Pata Ki Aaj Ke Naujwano Ki Jaan Toh,
Kisi GORE MUKHDE Ke Dil Mein Hai,
Sarfroshi Ki Tamnna Aaj Kiske Dil Mein Hai????
No comments:
Post a Comment