Phool saare teri khush rang nazar ke liye haiN
Zakhm jitne bhi hain sab mere jigar ke liye haiN
Jane kis kaam ke hain, kya hai hamaara masraf??
Hum kisi ghar ke liye hain na safar ke liye haiN
Kitne aalaam O masaayeb ke hain mahvar hum log
KashtiyaN jo bhi hain apni woh bhaNvar ke liye haiN
Meri tanhaayi ke mo’nis hain! mere gham ke rafeeq!
Saare aaNsoo, jo mere deeda e tar ke liye haiN
Apni taqdeer meiN kuchh bhi nahi patjhaR ke siwa
Yeh bahaarein to faqat aek shajar ke liye haiN
Mujh se kahne lagii yeh raat, K ‘Tariq’ saheb
Aap jaage hue kis khaab e sehar ke liye hain?
No comments:
Post a Comment