Saturday, June 18, 2011

Apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga – Wasim Barelvi



apne har har lafz ka khud aaina ho jaunga
us ko chota kah ki main kaise bada ho jaunga
tum girane mein lage the tum ne socha hi nahi
main gira to masala ban kar khada ho jaunga
mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
rasta roka gaya to qafila ho jaunga
sari duniya ki nazar mein hai mera ahad-e-vafa
ek tere kahane se kya main bevafa ho jaunga


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Wasim Barelvi



No comments:

Post a Comment