Sunday, June 26, 2011

Aye Dil-E-Raayegaan Udaas Udaas



Aye Dil-E-Raayegaan Udaas Udaas
Phir Rahay Ho Kahan Udaas Udaas


Chaand Aik Umer Sey Safar Mein Hai
Aasmaan Aasmaan Udaas Udaas


Jab Bhi Dekha Hai Jhaank Ker Dil Mein
Ho Gaya Sab Jahaan Udaas Udaas

Zindagi Khail Hai Udaasi Ka
Ham Yahan Tum Wahan Udaas Udaas


Phirtay Rehtay Hein Ham Mohabbat Mein
Muzmahil, Naatawaan, Udaas Udaas


Sochta Hoon Ke Meray Seenay Mein
Janay Kya Hai Nihaan Udaas Udaas


Kya Udaasi Siva Nahin Kuch Bhi
Aye Meray Laa-Makaan Udaas Udaas


Raat Bhar Jaagtay Ho Kyun Aakhir
Iss Tarah Meri Jaan Udaas Udaas


Ik Taraf Gham Hein, Ik Taraf Khushiyaan
Aur Main Darmiyaan Udaas Udaas


Saaray Kirdaar Hein Mohabbat Ke
Daastaan Daastaan Udaas Udaas


Yeh Wohi Hein Hamaray ‘Farhat’ Ji
Shair Bey-Karaan Udaas Udaas


Ham Se Hassas Log ‘Farhat’ Ji
Reh Rahay Hein Yahan Udaas Udaas



No comments:

Post a Comment