Labon pe narm tabassum racha ke dhul jayen
khuda kare mere aansu kisi ke kam aayen
jo ibtada-e-safar mein diye bujha baithe
wo badnasib kisi ka surag kya payen
talash-e-husn kahan le chali khuda jane
umang thi ki faqat zindagi ko apanayen
bula rahe hain ufaq par jo zard-ru tile
kaho to hum bhi fasane ke raz ho jayen
na kar khuda ke liye bar-bar zikr-e-bahisht
hum aasman ka mukarrar fareb kyon khayen
tamam maikada sunsan maigusar udas
labon ko khol kar kuch sochati hain minayen
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Nadeem Qasmi
No comments:
Post a Comment