Monday, November 22, 2010

Ret se but na bana ae mere ache fankar-Ahmed Nadeem Qasmi

ret se but na bana ae mere ache fankar
ek lamhe ko thahar main tujhe pathar la dun
main tere samane ambar laga dun lekin
kon se rang ka pathar tere kam aayega
surkh pathar jise dil kahati hai bedil duniya
ya wo pattharai hui aankh ka nila pathar
jis mein sadiyon ke tahayyur ke pade hon dore
kya tujhe ruh ke pathar ke zarurat hogi
jis pe haq baat bhi pathar ke tarah girti hai
ik wo pathar hai jise kahate hain tahazib-e-safed
us ke marmar mein siyah khoon jhalak jata hai
ik insaf ka pathar bhi to hota hai magar
hath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai
jitne mayar hain is daur ke sab pathar hain
sher bhi raqs bhi tasvir-o-gina bhi pathar
mere ilham tera zahan-e-rasa bhi pathar
is zamane mein har fan ka nishan pathar hai
hath pathar hain tere meri zuban pathar hai
ret se but na bana ae mere ache fankar

Poet of The Poem / Ghazal or Nazam :Ahmed Nadeem Qasmi

No comments:

Post a Comment