Tuesday, November 16, 2010

Jiit-Haar To Is Daur Kaa Muqaddar Hai



Ye Jiit-Haar To Is Daur Kaa Muqaddar Hai
Ye Daur Jo Ke Puraanaa Nahiin Nayaa Bhii Nahiin
Ye Daur Jo Ke Sazaa Bhi Nahiin Jazaa Bhii Nahiin
Ye Daur Jiskaa Ba-Zaahir Ko’ii Khudaa Bhii Nahiin


Tumharii Jiit Ah’m Hai Na Merii Haar Ah’m
Ke Ibtidaa Bhii Nahiin Hai Ye Intihaa Bhii Nahiin
Shuruu Ma’arka-E-Jaan Abhii Hu’aa Bhii Nahiin
Shuruu Ho To Ye Hangaam-E-Fasilaa Bhii Nahiin


Payaam Zer-E-Lab Ab Tak Hai Suur-E-Israafiil
Sunaa Kisii Ne Kisii Ne Abhii Sunaa Bhii Nahiin
Kiyaa Kisii Ne Kise Ne Yaqiin Kiyaa Bhii Nahiin
Uthaa Zamiin Se Ko’ii, Ko’ii Uthaa Bhii Nahiin


Qadam-Qadam Par Diye Hain Vo Rahzanon Ne Fareb
Ke Ab Nigaah Men Tauqiir-E-Rahnumaa Bhii Nahiin
Use Samajhte Hain Manzil Jo Raastaa Bhii Nahiin
Vahaan Lagaate Hain Deraa Jahaan Vafaa Bhii Nahiin



No comments:

Post a Comment