Friday, November 19, 2010

Mana-e-dasht navardi koi tadabir nahi – Mirza Ghalib



mana-e-dasht navardi koi tadabir nahi
ek chakkar hai mere paon mein zanjir nahi
hasarat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai
jadah-e-rah-e-vafa juz dam-e-shamshir nahi
ranj-e-na-ummidi-e-javed gavara rahiyo
khush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahi
sar khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jaye
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqarir nahi
jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
koi taqasir ba-juz khaslat-e-taqasir nahi
“ghalib” apna ye aqida hai baqaul-e-nasikh
aap be-behara hain jo motaqid-e-mir nahi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib



No comments:

Post a Comment